Dayaar-E-Dil Ki Raat MeN CharaaGh Sa Jalaa Gayaa … Tuesday, Mar 31 2009 

Dayaar-e-dil ki raat meiN charaaGH saa jalaa gayaa
Milaa nahiN to kyaa huaa wo Shakl to dikhaa gayaa

JudaaioN ke ZakHm dard-e-Zindagi ne bhar diye
Tujhe bhi Neend aa gayi mujhe bhi Sabr aa gayaa

Yeh subh ki SafediyaaN yeh dopahar ki ZardiyaaN
Ab Aaine meiN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa

Pukarti haiN FursateiN kahaaN gaiN wo SohbateiN
ZameeN nigal gai unheiN yaa Aasmaan khaa gayaa

Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui
Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa

yeh kis kHushi ki Ret par gHamoN ko Neend aa gai
Wo lehar kis taraf gai ye maiN kahaaN samaa gayaa

Gaye dinoN ki Laash par pare rahoge kab talak??
UTho amal-kasho  keh Aaftaab sar pe aa gayaa

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai … Monday, Mar 30 2009 

Musalsal bekalee dil ko rahee hai
Magar jeene ki surat to rahee hai

Main kyun phirta huN tanha maara maara
Ye bastee chain se kyuN so rahee hai

Chale dil se ummeedoN ke musaafir
ye nagari aaj Khaali ho rahee hai

Na samajho tum ise  shor-e-bahaaraaN
KhazaaN pattoN mein chhup ke ro rahee hai

Hamare ghar ki diivaaroN pe ‘Nasir’
Udaasee baal khole so rahee hai

Garmi-e-hasrat … Monday, Mar 30 2009 

Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain
Hum charagoN ki tarah shaam se jal jaate hain

Bach nikalate hain agar atih-e-sayyal se hum
Shola-e-atish-e-gulfaam se jal jaate hain

Khudnumaayi to nahin shewaa-e-arbaab-e-wafaa
jin ko jalnaa ho wo aaram se jal jaate hain

Shama’ jis aag mein jalti hai numaayish k liye
Ham usi aag mein gumnaam se jal jaate hain

Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath
Jane kyun log mere naam se jal jaate hain

Rabt-baaham pe hamein kya na kahenge dushman
Ashnaa jab tere paighaam se jal jaata hain

Ek hunar hai … Thursday, Mar 26 2009 

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN??
Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

Ab hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Vohii naaz-o-adaa,  vohii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

Ajab ilzaam huuN zamaane kaa
Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN


Jaisaa huN vaisaa kyuuN huN … Wednesday, Mar 25 2009 

Jaisaa huN vaisaa kyuuN huN samjhaa saktaa thaa maiN
Tumne puuchhaa to hotaa, batlaa saktaa thaa maiN

Aasuudaa rahne kii Khaahish maar gayii varnaa
Aage aur bahut aage tak jaa saktaa thaa maiN!

ChhoTii moTii ek lahar hii thii mere andar
Ek lahar se kyaa tuufaan uThaa saktaa thaa maiN

KahiN kahiN se kuchh misr’e, ek aadh Ghazal, kuchh she’r
Is puunjii par kitnaa shor machaa saktaa thaa maiN

Jaise sab likhte rahte haiN GhazleN, nazmeN, geet
Vaise likh likh kar ambaar lagaa saktaa thaa maiN

Terii Khushbu kaa … Monday, Mar 23 2009 

Terii Khushbu kaa pataa karti hai
Mujh pe ehasaan hawaa karti hai

Shab ki tanhaai meN ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai

Dil ko us raah pe chalanaa he nahiN
Jo mujhe tujh se judaa karti hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne meN raha karti hai

Us ne dekhaa hi nahiN warnaa ye aaNkh
Dil kaa Ahawaal kahaa karti hai

Be-niyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
Ret par naam likhaa karti hai

Shaam parte he kisi shaKhs ki yaad
Kuuchaa-e-jaaN meN sadaa karti hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Haal jo teraa ana karti hai

Dukh huaa kartaa hai kuchh aur bayaaN
Baat kuchh aur huaa karti hai

Abr barse to inaayat us ki
ShaaKh to sirf duaa karti hai

Humne dekhi hai wo ujli saa’at
Raat jab she’r kaha karti hai

Mas’ala jab bhi chiraagooN ka uThe
Faisalaa sirf hawaa kerti hai

Gaahe gaahe bas ab … Monday, Mar 23 2009 

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya?
Tumse mil kar bahut khushi ho kya?

Mil rahi ho bare tapaak ke saath,
Mujhko yeksar bhula chuki ho kya?

Yaad hain ab bhi apne khaab tumheN?
Mujhse mil kar udaas bhi ho kya?

Bas mujhe yun hi ik khayal aaya,
Sochti ho to sochti ho kya?

Ab meri koi zindagi hi nahin,
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?

Kya kaha, ishq jaawidaani hai?
Aakhri baar mil rahi ho kya?

Haan, faza yaan’ ki soyi soyi si hai
To bahut taiz roshni ho kya?

Mere sab tanz be-asar hi rahe,
Tum bohat door ja chuki ho kya?

Dil mein ab soz-e-intezar nahin,
Shamm-e ummeed bujh gayi ho kya?

Is samandar pe tashna kaam huN maiN,
‘Baan’ tum ab bhi beh rahi ho kya

Jab kisii se koii … Friday, Mar 20 2009 

Jab kisii se koii gilaa rakhanaa
Saamane apne aaiiinaa rakhanaa

YuuN ujaaloN se vaasta rakhanaa
Shammaa ke paas hii hava rakhanaa

Ghar ki taa’miir chaahe jaisi ho
Is meN rone ki kuchh jagah rakhanaa

MasjideN haiN namaaziyoN ke liye
Apane ghar meN kahiiN Khudaa rakhanaa

Milnaa julanaa jahaaN zaruurii ho
Milne-julane kaa hausalaa rakhanaa

Aaraaish-E-Khyaal Bhi Ho Dil Kushaa Bhi Ho … Friday, Mar 20 2009 

Aaraaish-e Khayaal bhii ho dil kushaa bhi ho
Wo dard ab kahaaN  jise jee chahta bhi ho!

Ye kya k roz aik saa gham aik see umeed,
Is ranj-e be-khumaar ki ab intehaa bhi ho.

Ye kyaa k aik tor se guzare tamaam umr,
Jee chaahtaa hai ab koi tere sivaa bhi ho.

Toote kabhi to khuwab-e shab-o-roz ka tilism,
Itne hujoom main koi chehraa naya bhi ho.

Dewangii-e shoq ko ye dhun hai in dinon,
Ghar bhi ho aur be-dar-o-deewaar sa bhi ho.

Juz dil koi makaan nahin dahar main jahaan,
Rah-zan ka khof bhi na rahe dar khulaa bhi ho.

Har zarra aik mahamil-e-ibrat hai dasht ka,
Lekin kise dikhaaoon koi dekhtaa bhi ho.

Har shay pukaaratii hai pas-e pardaa-e-sukoot,
Lekin kise sunaaoon koi hum-navaa bhi ho.

Fursat main sun shaguftagii-e Gunchaa ki sadaa,
Ye wo sukhan nahin jo kisii ne kahaa bhi ho.

Baithaa hai aik shakhs mere paas dair se,
Koi bhalaa-saa ho to humain dekhtaa bhi ho.

Bazm-e sukhan bhi ho sukhan-e garm k liye,
Taa-uus boltaa ho to jangal haraa bhi ho.

Raqs Karne Kaa Milaa … Wednesday, Mar 18 2009 

Raqs karne kaa  milaa hukm jo  dariyaaoN meN
Ham ne Khush hoke bhaNvar baaNdh liye paaoN meN

Un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talaash
Boond tak bo na sake jo kabhii saharaaoN meN

Ae mere ham-safaro tum  bhii thaake-haare ho
Dhuup ki tum to milaavaT na karo chaaoN meN

Jo bhi aataa hai bataataa hai nayaa koi ilaaj
Bat na jaaye teraa biimaar masiihaaoN meN

Hausalaa kis meN hai Yusuf ki Kharidaari kaa
Ab to mahNgaayi ke charche haiN zuleKhaaN meN

Jis barahman ne kaha hai k ye saal achchha hai
Us ko dafnaao mere haath ki rekhaaoN meN

Woh khuda hai kisi tootay hue dil me hoga
MasjidoN me use dhoondho na kalissaaoN meN

Hum ko aapas me muhabbat nahi karne dete
Ik yahi aib hai is shehr k daanaaoN meN

Mujh se karte haiN Qateel is liye Kuch log hasad
KyuN mere she’r hain maqbool haseenaaoN men

Next Page »