Juz Tere Koi Bhi … Friday, May 29 2009 

Juz teray koi bhi din raat na janay meray
Tu kahaN hai magr Ae dost puranay meray

Tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar
Burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray

ShamA ki lau thi k wo tu tha magr hijr ki raat
Dair tak rotA raha koi sarhanay meray

Khalq ki beKhabaree hai k meree ruswayee
Log mujh ko hi sunatay hain fasanay meray

Lut k bhi khush huN k ashkoN se bhara hai daaman
Dekh gharat gar e dil yeh bhi khazane meray

Aaj ik aur baraS beet gaya us kay beghair
Jis k hotay hue hotay thay zamanay meray

Kaash tu bhi meri aawaaz kahiN sunta ho
Phir pukara hai tujhe dil ki saada ne meray

Kaash tu bhi kabhi aajaye masihayee ko
Log aate hain bahut dil ko dukhane meray

Kaash auroN ki tarah main bhi kabhi keH sakta
Baat sun lee hai meri, aaj khuda ne meray

Tu hai kis haal mein aih zood-faramosh mere
Mujh ko to chheen liya ahd-e wafa ne meray

Chara-gar yuN to bahut haiN magr ae jaan-e-faraz
Juz teray aur koi zakhum na janay meray

Khuda Ka Shukr … Friday, May 29 2009 

Khuda ka shukr mujhe besh-az-gumaan mila
Tumhare reshmi aanchal ka saayabaan mila.

Na jaane mujh meN samaayi thiN hijrateN kitni
Tere wajood se mujh ko meraa makaan mila.

Khuda ne humpe hadeN kitni baNdh rakhkhi haiN
Hisaar e jism se nikle  to aasmaan mila !!

Hum uske jabr ka qissaa sunaate kis kis ko
YahaaN to jo bhi milaa, uska hamzaban mila.

HikayateN thiN meri raaviyoN ke narghe meN
Phir uske baad jahaaN mujh se bad gumaan mila

Suna hai shahr ki buniyaad usne daali thi
Jo shakhs kal meri basti me be amaan mila.

Ye shayeri mujhe maqdur bhar mili hi nahin
Magar abhi bhi koi le to mujh se taan mila.

Zikr-e shab-e firaaq … Tuesday, May 26 2009 

Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee,
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thee.

Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka,
Rasta badal k chalne ki aadal usay bhi thee.

Us raat dair tak wo raha mahav-e guftagoo,
Masroof main bhi kam tha faraagat usay bhi thee.

Mujh se bichhar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs,
Haalaanke shahar bhar se adaawat usay bhi thee.

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna her aik saans qayamat usay bhi thee.

Sunta tha wo bhi sab se puraani kahaaniyaan’
Shayad rifaaqaton ki zaroorat usay bhi thee.

Tanha husa safar main to mujh pe khula ye bhaid,
Saaye se pyar, dhoop se nafrat usay bhi thee.

Mohsin’ main us se keh na saka yun bhi haal-e dil,
Dar-pesh aik taaza museebat usay bhi thee..

Khulegi Uss Nazar Pe … Friday, May 22 2009 

Khulegi uss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista

Kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista

Koi zanjeer phir waapas waheeN par le ke aati hai

Kathin ho raah to chhut’ta hai ghar aahista-aahista

Badal dena hai rasta ya kaheeN par baith jaana hai

K thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista

Khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye

Khinche teer-e-shanaasaai magar aahista-aahista

Hawa se sarkashi mein phool ka apna zayaaN dekha

So jhukta jaa raha hai ab ye sar aahista-aahista

Meri shola mijaazi ko wo jangal kaise raas aaye

Hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.

Kucha E DilbaraaN ke … Friday, May 15 2009 

Kucha e dilbaraan ke the hi nahin
Ahl us imtehaan ke the hi nahin

Andhiyon ke amal dakhal me rahe
Hum kisi aashiyan ke the hi nahin.

Sah gaye rizq ke liye wo lafz !!
Jo hamari zabaN ke the hi nahin.

Chara gar se wo zakhm kiya bharte
Jo adoo ki senaan ke the hi nahin

Jis ka anjaam khush nateejaa ho
Hum to us dastaan ke the hi nahin.

Is tarah hum ne chhor dee duniya
Jaise pahle yahaan ke the hi nahin.

Dekh Hamaaray Maathay Pe Yeh Dasht-E-Talab Ki Dhool MiyaaN … Tuesday, May 12 2009 

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan
Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan

Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan
Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan

Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya
Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan

Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan

Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain
Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan

Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr
Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan

Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay
Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan?

Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN
Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan

Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!

Raat ek mehfil meiN … Tuesday, May 5 2009 

Raat ek mehfil meiN guft_guu namu par thii
Har zubaan thii saakit, har nigaah pat_thar thii

Ek savaal kii lou se hoNT jhulse jaate the
Ek javaab kii ThanDak aah ke baraabar thii

Ek be-yaqeeN lehja khouf se larazta tha
Ik Chhupi huii hairat, hairatoN se baahar thii

Voh sukhan zubaN par tha jis ko dil meiN rehna tha
Voh shikan jabeeN par thii jo adaaye bistar thii

MaiN bahut hirasaaN tha zakhm ke na bharne se
Ek shab kii mohlat thii aur jang sar par thii

Shaakh-e-dil kii haryaali khaab ka bayaaN Thehri
MaiN ne jis ko nam rak_Kha voh zameeN hii banjar thii

Mujh meiN ek darya hai jo bipharta rehta hai
Pehle ek Sehra tha jis pe chup kii chaadar thii

MaiN ne us ko har lamha jism se pukaraa tha
Ab Khula keh voh khaahish ruuh ke baraabar thii

Ishq kii karaamat hai varnaa umr ke haathoN
Khaal-o-khad kii veeraani husn ka muqaddar thii

Kya huye voh lab jin se phool hii baraste the
Kya huii voh shaadabi jo hameiN muyassar thii

AZM be-sabab dekhha tum ne khaab-e-sairaabi
Dasht ke tasalsul meiN tashnagi hii behtar thii

Kal ChaudhaviiN Ki Raat Thii Shab Bhar Rahaa Charchaa Tera … Monday, May 4 2009 

Kal chaudhaviiN kii raat thii shab bhar rahaa charchaa teraa
Kuchh ne kahaa ye chaaNd hai kuchh ne kahaa cheharaa teraa

Ham bhii vahiiN maujuud the ham se bhii sab puuchhaa kiye
Ham haNs diye ham chup rahe manzuur thaa pardaa teraa

Is shahar meN kis se mileN ham se to chhuuTii mahafileN
Har shaKhs teraa naam le, har shaKhs diivaanaa teraa

Kuuche ko tere chhoR kar,  jogii hii ban jaayeN magar
Jangal tere, parbat tere, bastii terii, saharaa teraa

Ham aur rasm-e-bandagii, aashuftagii, uftaadagii
Ehasaan hai kyaa kyaa teraa ai husn-e-beparvaa teraa

Do ashk jaane kis liye palkoN pe aa kar Tik gaye
Altaaf kii baarish terii, ikraam kaa dariyaa teraa

Ae bedaareGh-o-be_amaaN ham ne kabhii kii hai fuGaaN
Ham ko terii vahashat sahii ham ko sahii saudaa teraa

Tuu bevafaa tuu maharabaaN, ham aur tujh se bad-gumaaN?
Ham ne to puuchhaa thaa zaraa ye vaqt kyuuN Thahraa teraa

Ham par ye saKhtii kii nazar ham haiN faqiir-e-rah_guzar
Rastaa kabhii rokaa teraa, daaman kabhii thaamaa teraa?

HaaN haaN terii suurat hasiiN, lekin tuu aisaa bhii nahiiN
Is shaKhs ke ash’aar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa

Beshak usii kaa dosh hai, kahataa nahiiN Khaamosh hai
Tuu aaQ kar aisii davaa, biimaar ho achchhaa teraa

Bedard sun_nii ho to chal, kahataa hai kyaa achchhii Gazal
Aashiq teraa, rusavaa teraa, shaayar teraa “Inshaa” teraa