Hawa ke hont khuleN, saa’at e kalaam to aaye
Ye ret jaisa badan, aandhiyoN ke kaam to aaye
~
Hamara sar na uthaaye wo apne sar se buland
Rayees shahr ko aadaab e qatl-e-aam to aaye
~
Use udaas na kar de ye meri tez ravee !!
MaiN abke sust chaluN wo subuk kheraam to aaye
~
Munafeqat ki sabhi tohmaten mujhe dede
Mere tufail rafeeqoN me tera naam to aaye
~
Gham-e-hayat, gham-e-rozgaar, be watani
Sakun se jo dhale kaash aisi shaam to aaye.
Hawaa Ke Hont KhuleN … Saturday, Jun 27 2009
Ghalib Ayaz and ILHAAMI AAYAAT 11:59 am
Maskan-E-Maah-O-Saal … Saturday, Jun 27 2009
ILHAAMI AAYAAT and Joan Alia 11:50 am
Maskan-e-maah o saal chhoR gaya
Dil ko uss ka khayaal chhoR gaya
Taaza dam jism o jaaN thay furqat meiN
Wasl , uss ka nidhaal chhoR gaya
Ahd-e-maazi jo tha ajab pur haal
Aik weeraan haal chhoR gaya
Zaala baari k marhaloN ka safar
Qaaflay, paayemaal chhoR gaya
Dil ko ab yeh bhi yaad ho k na ho
Kaun tha , kia malaal chhoR gaya
MaiN bhi ab khud se huN jawaab talab
Wo mujhey , bay sawaal chhoR gaya
Shaayad Us Ne Mujhko … Monday, Jun 22 2009
ILHAAMI AAYAAT and Parvin Shakir 12:38 pm
Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai
Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai
Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai
Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai
Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai
Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai !!
Kab Talak Shama’ Jali … Tuesday, Jun 9 2009
ILHAAMI AAYAAT and Qateel Shifayi 5:01 pm
Kab talak shama’ jali, yaad naheeN
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheeN
Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheeN
Hum zamane mein kuch aise bhatkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen
Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghaRi kaise tali yaad naheeN
Kat gayi umr kisi tarh’ “Qateel”
Woh buri thee k bhali yaad naheeN
Bahte Daryaa MeN … Tuesday, Jun 9 2009
Ghalib Ayaz and ILHAAMI AAYAAT 3:19 pm
Bahte daryaa men utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha
*
Us se bichhRe to zamaanaa beeta
Ab talak zakhm ko bhar jana tha
*
Maan letaa hun tujhe hi manzil!!
Ab kahaaN yaad kidhar jana tha
*
Hausle ham ne bachakar rakkhe
Jab hameN had se guzar jana tha
*
Jaan !!! is hijr pe ronaa kaisa!!!
Ek din yuN bhi to mar jana tha
***
Qaryaa-e-jaaN mein … Monday, Jun 8 2009
ILHAAMI AAYAAT and Parvin Shakir 7:02 pm
Qaryaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye
Woh mere dil pe nayaa zakhm lagaane aaye
Mere veeraan darichoN mein bhi khushbu jaage
Woh mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye
Uss se ek baar to roothuN main usee ki maanind
Aur meri tarh’ se wo mujhko manaane aaye
Isee kuche mein kayi us ke shanaasa bhi to hain
Woh kisi aur se milne ke bahaane aaye
Ab na puchhungi main khoye hue khaboN ka pata
Woh agar aaye to kuch bhi na bataane aaye
Zabt ki shehar-panaahoN ki mere maalik khair
Gham ka sailaab agar mujhko bahaane aaye.
TohmateN, BadnaamiyaaN … Thursday, Jun 4 2009
ILHAAMI AAYAAT and Misc. Ghazals 2:43 pm
TohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN
Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN
zindagii shaayed isii kaa naam hai
DuuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN
Kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat
KarvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN
Kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
AahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN
Aik paikar meN simaT kar rah gayiiN
KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN
ZaKhm dil ke phir hare karne lagiiN
BadliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN
“Kaif” paida kar samandar kii tarah
Vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN
Kaif Bhopali
Garaj Baras Pyasi …. Wednesday, Jun 3 2009
ILHAAMI AAYAAT and Nida Fazli 3:07 pm
Garaj baras pyaasi dharthi ko phir paani de maula
ChidiyoN ko daane, bacchoN ko guR-dhaani de maula
Do aur do ka joR hamesha chaar kahan hota hai
Soch samajh waaloN ko thoRi naadaani de maula
Phir roshan kar zahr ka pyaala, chamka nayee salibeN
JhootoN ki duniya meiN sach ko taabaani de maula
Phir moorat se bahar aakar chaaroN or bhikar ja
Phir mandir ko ek meera deewaani de maula
Tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyoN ho
Jeene waaloN ko marne ki aasaani de maula
Uga Sabza Dar O Deewar … Wednesday, Jun 3 2009
ILHAAMI AAYAAT and Munir Neyazi 11:21 am
Uga Sabza Dar-o-Deewar Per Aahista Aahista
Hua Khaali Sadaon Se Nagar Aahista Aahista
Ghira Baadal khamoshi Se Khizaan Aasaar Baghon Per
Hile Thhandi Hawaon Se Shajar Aahista Aahista
Bahut He Sust Tha Manzar Lahoo K Rang Laane Ka
Nishaan Aakhir Hua Ye Surkh Tar Aahista Aahista
Chamak Zar Ki Usse Aakhir Makaan-e-Khaak Tak Laayi
Banaya Naag Ne Jismon Mein Ghar Aahista Aahista
Mere Bahar Faseelen Thein Ghubaar-e-Khaak-o-Baaraan Ki
Mili Mujh Ko Tere Gham Ki Khabar Aahista Aahista
Munir Is Mulk Per Aaseb Ka Saaya Hay Ya Kya Hay
K Harkat Tez Tar Hay Aur Safar Aahista Aahista
Gham Hai Yaa … Wednesday, Jun 3 2009
Ghalib Ayaz and ILHAAMI AAYAAT 10:41 am
Gham hai ya izteraar sa kuch hai
Yaa mujhe intezaar sa kuchh hai
Be sabab aur kaun bhatke ga??
Dil hai, aur be qaraar sa kuch hai
Jab bhi chaahuN udaas hojauN!
Khud pe ab ikhteyaar sa kuch hai
Zindagi itni badnumaa to nahi!!
Aayeene pe ghubaar sa kuch hai
Ab gumaN ho raha hai manzil ka
Saamne reg zaar sa kuch hai
Hauslon ko abhi pata na chale
Raste me hisaar sa kuch hai !
Mere andar ki rut khezaN jaisii
Wo sarapa bahaar sa kuchh hai