Kuchh Bhi NahiN … Friday, Jul 31 2009 

Kuchh bhi nahiN, koi nahiN, khaab k ekhtiyaar meN
Raat guzaar dee gayii !!! subh k intezaar meN

Baab e ataa k saamne, ahl e kamaal ka hujoom
Jin ko tha sarkashi pe naaz, woh bhi usi qataar meN

Aayega aayegaa wo din, ho k rahega har hisaab
Waqt bhi intezaar meN, khalq bhi intezaar meN

Jaise fasaad e khuun se jil e badan pe daagh e bars
Dil ki siyaahiyaaN bhi haiN, daaman e daghdaar meN

Waqt ki thokaroN me hai, uqdaa kushaiyoN ko zo’m
Kaisei ulajh rahi hai dor, naakhun e hoshiyaar meN

Jaisi lagi thi dil me aag, waisie ghazal bani nahiN
Lafz Tthahar nahiN sake,  Dard ki tez dhaar meN

Wo SahiloN Pe Gaane Waale Kya Hue … Thursday, Jul 30 2009 

Wo sahiloN pe  gaane waale kya hue
Wo kashtiyaN Chalane waale kya hue

wo dil meN khubne waali aankheN kya huiN
Wo hoNt muskuraane waale kya hue

Wo subh aate aate rah gayi kahaN
Jo qaafle the aane waale kya hue

MaiN jin ki raah dekhta hun rat bhar
Wo raushani dikhane waale kya hue

Ye kaun log haiN mere idhar udhar
Wo dosti nibhaane waale kya hue

ImaarateN to jal k rakh ho gayiN
ImaarateN banaane waale kya hue

Ye aap ham to bojh haiN  zamin ka
ZamiN ka bojh uthaane waale kya hue

Dil hi to hai na Sang-o-Khisht … Monday, Jul 27 2009 

Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyuN
RoyeNge ham hazaar baar koi hameiN sataaye  kyuN

Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaN nahi
Baithe hain rahguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyuN

Jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
Aap hi ho nazaarasoz, parde mein munh chupaaye kyuN

Dashna-e-gamza jansitaN, nawak-e-naz bepanaah
Tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aaye kyuN

Qaid-e-hayat-o-band-e-gham asl mein donoN ek haiN
Maut se pahle aadmi gham se najat paaye   kyuN

Husn aur us pe husn-e-zan rah gayi bulahawas ki sharm
Apne pe etimaad hai ghair ko aazamaaye   kyuN

WaN wo ghuroor-e-izz-o-naz, yaN ye hijab-e-pas waz’a
Raah mein ham milen kahaN, bazm mein wo bulaaye kyuN

HaaN wo nahi khudaparast, jaao wo bewafa sahi
Jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaaye kyuN

“Ghalib”-e-khastaa k baghair kaun se kam band haiN
Roiye zar-zar kyaa, kijiye haaye-haaye kyuN


Khaatir se ya Lihaaz se … Friday, Jul 24 2009 

Khaatir se ya lihaaz se maiN maan to gayaa
jhootthee qasam se aap ka eemaan to gayaa

Dil leke muft kehte haiN kuch kaam ka nahiN
Ulti shikaayateiN rahiN ehsaan to gayaa

Afshaay-e-raaz-e-ishq me go zillateiN hueeN
Lekin use jataa to diya, jaan to gayaa

Dekha hai butkade meiN jo ae sheikh kuch na kuch
Eemaan ki to ye hai k eemaan to gayaa

Darta hooN dekh kar dil-e-be-aarzu ko maiN
Sunsaan ghar ye kyuN na ho mehmaan to gayaa

Go naamaabar se khush na hua par hazaar shukr
Mujhko wo mere naam se pehchaan to gayaa

Hosh-o-hawaas-o-taab-o-tavaaN “Daag” ja chuke
Ab hum bhi jaane waale haiN saamaan to gayaa.

[Daagh Dehlavi]

Huii Hai Shaam … Wednesday, Jul 22 2009 

Huii hai shaam to aankhoN mein bas gayaa phir tuu
Kahaan gayaa hai mere shahr ke musaafir tuu

Bahut udaas hai ik shakhs,  tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usii kii khaatir tuu

Merii misaal k ik nakhl-e-khushk-e-sahraa huuN
Teraa Khayaal k shaakh-e-chaman kaa taair tuu

Main jaantaa huun ke duniyaa tujhe badal degii
Main maantaa huuN ke aisaa nahiin bazaahir tuu

Hansii Khushii se bichhaR jaa agar bichaRnaa hai
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tuu

‘Faraz’ tune use mushkiloN mein daal diyaa
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayir tuu

Na GaNvaao Naavak … Monday, Jul 20 2009 

Na gaNvaao naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza gaNvaa diyaa
Jo bache haiN sang samet lo, tan-e-daagh daagh lutaa diyaa

Mere chaaraagar ko naved ho, saf-e-dushmanaaN ko Khabar karo
Wo jo qarz rakhate the jaan par, wo hisaab aaj chukaa diyaa

Karo kaj jabiiN pe sar-e-kafan, mere qaatiloN ko gumaaN na ho
K ghuruur-e-ishq kaa baaNkapan, pas-e-marg hamne bhulaa diyaa

Udhar ek harf k kushtanii, yahaaN laakh uzr thaa guftanii
Jo kahaa to sun ke uDaa diyaa, jo likhaa to padh ke mitaa diyaa

Jo ruke to koh-e-garaaN the ham, jo chale to jaaN se guzar gaye
Rah-e-yaar hamane qadam qadam, tujhe yaadagaar banaa diyaa

Dariya Ke Paas Aur … Friday, Jul 17 2009 

Dariya k paas aur  bahaanaa to hai nahi
kahta hai chal k tera thikaana to hai nahi

Thori si raoushni hai,  use jo bhi loot le
Jugnu miyaN k paas khazaana to hai nahi

Hum Jaye-Haadsaa se bahut door aagaye
Zakhmi ki cheekh koi taraanaa to hai nahi

Jab kah diya to baat nibhadenge umr bhar
HalaNki dosti ka zamaanaa to hai nahi

Laavaa sa khaulta hai sadaa andrun-e-zaat
Aatish fashan-e-gham ka dehaana to hai nahi

Deewaana hai jo us se tawaqqo’ rakhe koi
Aakhir wo rahnuma hai diwanaa to hai nahi

Chubh jayeN jane kis ko ‘Muzaffar’ hamare she’r
Har chand koi khaas nishaana to hai nahi

Tera Ghar aur Mera … Tuesday, Jul 14 2009 

Tera ghar aur mera jungal bheegta hai saath saath
Aisi barsaateN ke badal bheegta hai saath saath

Bachpane ka saath hai phir aik se dono ke dukh
Raat ka aur mera aanchal bheegta hai saath saath

Woh ajab duniya, k sab khanjar bakaf phirte hain, aur
Kaanch ke peyaloN maiN sandal bheegta hai saath saath

Baarish-e-sang-e-malamat maiN bhi woh hamraah hai
MaiN bhii bheeguN khud bhi pagal bheegta hai saath saath

LaRkiyoN ke dukh ajab hote haiN sukh us se ajeeb
Hans rahi haiN aur kaajal bheegta hai saath saath

Ye Dil, Ye Paagal Dil Mera … Monday, Jul 13 2009 

Ye dil, ye paagal dil mera kyuN bujh gayaa? aavaargii
Is dasht meN ik shahar thaa wo kyaa huaa? aavaargii

Kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chauNkaa diyaa
MaiN ne kahaa tuu kaun hai? us ne kahaa aavaargii

Ik tuu k sadiyoN se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii
Ik maiN k tere naam se naa_aashnaa  aavaargii

Ye dard kii tanhaa_iyaaN, ye dasht kaa viiraaN safar
Ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaargii

Ik ajnabii jhoNke ne jab, puchhaa mere gham ka sabab
Sahraa kii bhiiigii ret par maiN ne likhaa aavaargii

Le ab to dasht-e-shab kii saariii vus’ateN sone lagiiN
Ab jaaganaa hogaa hameN kab tak? bataa aavaargii

Kal raat tanhaa chaaNd ko dekha tha maiN ne Khaab meN
‘Mohsin’ mujhe raas aayegii, shaayad sadaa aavaargii

Ishq Mujhko Nahin … Monday, Jul 13 2009 

Ishq mujhko nahin wahshat hi sahi
Meri wahshat teri shohrat hi sahi

Qat’aa kieje na taa’alluq hum se
Kuchh nahin hai to adaawat hi sahi

Mere hone main hai kya ruswaai
Ye woh majlis nahin khalwat hi sahi

Hum bhi dushman to nahin hain apne
Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi

Apni hasti hi se ho jo kuchh ho
Aagahi gar nahin ghaflat hi sahi

Umr harchand k hai barq-E-kharaam
Dil ko khuN karne ki fursat hi sahi

Hum koi tark-e-wafaa karte hain
Naa sahi ishq, museebat hi sahi

Kuchh to de Ae falak-e-na-insaaf
Aah-o-fariyaad ki rukhsat hi sahi

Hum bhi tasleem ki khuu dalenge
Be – neyaazi teri aadat hi sahi!!!

Yaar se chheR chali jaaye “Asad”
Gar nahin wasl to hasrat hi sahi