Aise Hijr Ke Mausam … Monday, Aug 31 2009 

Aise hijr ke mausam ab kab aate haiN


Tere alaava yaad humeN sab aate haiN


Jazb kare kyon ret hamaare ashko ko


Tera daaman tar karne ab aate haiN


Ab wo safar ki taab nahi baaqi varna


Humko bulaavey dasht se jab tab aate haiN


Jaagti aankhoN se bhi dekho duniya ko


Khaab ka kya hai, wo har shab aate haiN


KaaGhaz ki kashti mei dariya paar kiya


Dekho humko kya-kya kartab aate hain

~ Shahryar ~

Sach Yeh Hai … Wednesday, Aug 26 2009 

Sach yeh hai, bekaar humeN gham hota hai
Jo chaha tha, duniyaa  meN kam hota hai


Dhalta suraj, phaila jungle, rasta gum
Humse puchho kaisa aalam hota hai


GhairoN ko kab fursat hai dukh dene ki
Jab hota hai, koi humdum hota hai


Zakhm to humne in ankhon se dekhe haiN
LogoN se sunte hain, marham hota hai


Zahn kii shaakhoN par ash’aar aa jaate haiN
Jab teri yaadoN ka mausam hota hai


{ Javed Akhtar }

Dil Munaafiq Tha … Tuesday, Aug 25 2009 

Dil munaafiq tha shab-e-hijr maiN soyaa kaisaa
Aur jab tujh se milaa toot ke royaa kaisaa


Zindagi meN bhi ghazal hi ka Qareenaa raK_khaa
Khaaab dar khaab tere gham ko piroyaa kaisaa


Ab to chehroN pe bhi katboN ka ghumaaN hota hai
AankhaiN patth_raayi hui haiN lab-e-goyaa kaisaa


Dekh ab qurb ka mausam bhi na sar sabz lage
Hijr hi hijr maraasim maiN samoyaa kaisaa


Aik aansoo tha ke dariya-e-nidaamat tha FARAZ
Dil se baibaak shanawar ko duboyaa kaisaa


Dayar-e-noor meN … Monday, Aug 24 2009 

Dayar-e-noor meN teeraaH shaboN ka saathi ho
Koi to ho jo meri wahshatoN ka saathi ho


MaiN usse jhuTT bhi boluN to mujh se sach bole
Mere mizaaj k sab mousamoN ka saathi ho


Wo mere naam ki nisbat se mo’tabar thahre
Gali gali meri ruswaaiyon kaa saathi ho


MaiN us k hath na aauN wo mera ho k rahe
MaiN gir parun to meri pastiyoN ka saathi ho


Wo khaab dekhe to dekhe mere hawale se
Mere khayaloN k sab manzaroN ka saathi ho


Tumhaare Shahr Ka Mausam … Friday, Aug 21 2009 

Tumhare shahr ka mausam baRa suhaanaa lage
MaiN ek shaam chura luN agar buraa naa lage

Tumhare bas meN agar ho to bhool jaao humeN
TumheN bhulaane meN shayad mujhe zamanaa lage

Hamaare pyar se jalne lagi hai ek duniya
Dua karo kisi dushman ki bad-dua naa lage

Na jaane kya hai kisi ki udaas aankhoN meN
Vo muNh chhupa k bhi jaye  to bewafa naa lage

Jo doobnaa hai to itne sukoon se dubo
K aas-paas ki leharoN ko bhi pata naa lage

Ho jis adaa se mere saath bewafaayi kar
K tere baad mujhe koi bewafaa naa lage

Vo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
Khudaa kare unhe bazaar ki hawa naa lage

Tum aankh moond ke pi jao zindagi ‘Qaiser’
K ek ghoont meN shayad ye bad-mazaa naa lage

[ Qaisar ul J'afri ]

Kabhi Visaal Kabhi Intezaar … Friday, Aug 21 2009 

Kabhi visaal  kabhi intezaar karte hue
Kati hayaat yahi kar o baar karte hue


Wo apne zulm k fan me kamal e fan ki taraf
Hum unse rishtaa e dil ustawaar karte hue


Bachi jo umr to phir tere shahr aayenge
Hum apne khoye hue pal shumar karte hue


Guzar na jaye ye tajdeed e ahd ka mausam
Masaalehat ki feza saazgaar karte hue


ZameeN ko zard libaadaa pasand aata hua
Falak darakhtoN ko be barg o bar karte hue

Kuchh Na Kisii Se BoleNge … Friday, Aug 21 2009 

Kuchh na kisii se boleNge
Tanhaayii meN ro leNge


Ham berahabaroN kaa kyaa
Saath kisii ke ho leNge


Khud to hue rusavaa lekin
Tere bhed na kholeNge


Jivan zahar bharaa saagar
Kab tak amrit gholeNge


NiiNd to kya aayegi ‘Faraz’
Maut aayii to so leNge


***~***

Tumhaari Yaad K Jab Zakhm … Friday, Aug 21 2009 

Tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte haiN


Kisi bahaane tumheN yaad karne lagte haiN


Hadees-e-yaar ke unvaa nikharne lagte haiN


To har hareem meN gesu saNwarne lagte haiN


Har ajnabi hameN mehram dikhayi deta hai


Jo ab bhi teri gali se guzarne lagte haiN


Sabaa se karte haiN gurbat-naseeb zikr-e-watan


To chashm-e-subah meN ansoo ubharne lagte haiN


Vo jab bhi karte hain is nutq-o-lab ki bakhiyaagari


Fazaa mei aur bhi naghme bikharne lagte haiN


Dar-e-qafas pe andhere ki muhar lagti hai


To ‘Faiz’ dil meN sitaare utarne lagte haiN


Vus’At-e-chashm Ko … Friday, Aug 21 2009 


Vus’At-e-chashm ko andoh-e-basaarat lik’kha
MaiN ne ik vasl ko ik hijr ki Haalat lik’kha

MaiN ne lik’kha k Saf-e-dil kabhi KHaali nah huii
Aur KHaali jo huii bhi to malaamat lik’khha

Sirf aavaaz kahaaN tak mujhe jaari rakhti
MaiN ne chup saadh li, san’naTe ko Aadat lik’kha

Yeh safar paaoN hilaane ka nahiiN aaNkh ka hai
MaiN ne is baab meN rukne ko masaafat lik’kha

MaiN ne dastak ko likha kash-ma-kash-e-be-KHabari
Jumbish-e-pardaa ko aane ki ijaazat lik’kha

Likhne vaaloN ne to hone ka sabab lik’kha hai
MaiN ne hone ko nah hone ki vazaaHat lik’kha

Ashk agar sab ne likhe, maiN ne sitaare lik’khe
Aajizii sab ne likhi, maiN ne ibaadat lik’kha

ZaKHm likhne ke liye maiN ne likhi he Ghaflat
Khuun likhna tha magar maiN ne Haraarat lik’kha

Koii aasan rafaaqat nahiiN lik’khi maiN ne
Qurb ko jab bhi likha juzv-e-raqaabat lik’kha

MaiN ne KHushbu ko likha dast-ras-e-gum-shudagi
Rang ko faaslaa rakhne ki riAayet lik’kha

Husn-e-goyaaii ko likhna tha, likhi sargoshi
Shor likhna tha so aazar-e-sama’At lik’kha

MaiN ne parvaaz likhi hadd-e-falak se aage
Aur be-baal-o-pari ko bhi nehayet lik’kha

MaiN ne tA’biir ko teHriir meN aane nah diya
Khaab likhte huye moHtaaj-e-bashaarat lik’kha

Mere sar par kabhi afsos ka saayaa nah rahaa
Ranj tha jis ki jagah maiN ne shikaayat lik’kha

Itne dA’voN se guzar kar yeh KHayaal aataa hai
‘AZM’ kya tum ne kabhi Harf-e-nidaamat lik’kha

Havaa Ke Zor Se … Thursday, Aug 20 2009 

Havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
ChiraaGh ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa

Pukaarte rahe mahfuuz  kashtiyoN  vaale
MaiN dubtaa hua dariya ke paar utar bhii gayaa

Ab ehatiyaat kii deevaar kyaa uThaate ho???
Jo chor dil meN chhupa tha vo kaam kar bhii gayaa

MaiN chup rahaa k isi meN thii aafiyat jaaN kii
koyii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa

Sulagte sochate viiraan mausamoN kii tarah
KaRaa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa

Jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhtaa
Jo naam dil meN rahaa zehn se utar bhii gayaa

PhaTii-phaTii huyii aaNkhoN se yuuN na dekh mujhe
Tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa

Magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
JahaaN ‘Faraz’ na thaa sail-e-Gham udhar bhii gayaa


Next Page »