YuuN na mil mujh se Khafaa ho jaise
Saath chal, mauj-e-sabaa ho jaise
Log yuuN dekh k haNs dete haiN
Tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise
Ishq ko shirk kii had tak na baRhaa
YuuN na mil hamase Khudaa ho jaise
Maut bhii aayii to is naaz ke saath
Mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
Aise anjaan bane baiThe ho
Tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
HichakiyaaN raat ko aati hi rahiiN
Tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
Zindagi beet rahi hai “Daanish”
Ek be-jurm sazaa ho jaise
[ Ehsan Danish ]