Rooh Mein Le Ke ZamaanoN ki Thakan Aaye The Hum

Rooh meiN le ke zamaanoN ki thakan aaye the ham

Raat yuN tha k sar e shahr e badan aaye the ham

Khush-libaasi thi jahaaN shart usi mehfil meiN

Log kahte haiN tera hijr pahan aaye the ham

Yaad to hoga khili dhoop ke maanind ik roz

Rauzan E jaaN se teri rooh meiN chhan aaye the ham

Teri aaNkhoN meiN kabhi aaye the hairat ki tarah

Tere maathe pa’ kabhi misl e shikan aaye the ham

Tumko dekha to mili quvvat e goyaayi hameiN

Varna khaamosh the jab shahr e sukhan aaye the ham

Ye to accha hua jee khol ke roya wo hameiN

Kaisa bacchoN ki tarah dhool meiN san aaye the ham

Usne kuchh aisa banaya tha ki bigde hue the

Usne kuchh aisaa bigada tha ki ban aaye the ham

                                                                                      (abhishek shukla)

Wahshat E JaaN Ki Pazeeraayi Na Kar Paayega Tu

Wahshat e jaaN ki pazeeraayi na kar paayega tu
Khud ko itnaa kabhi sahraayi na kar paayega tu

HaNstaa gaata hua ik shahr hai mujhmeiN maujood
Mere atraaf meiN tanhaayi na kar paayegaa tu

Mujhko dekhegaa baharhaal junooN karte hue
HaaN meri hauslaa-afzaayi na kar paayega tu

Abke lagta hai K beemaar huN maiN sach-much ka
Abke lagtaa hai maseehaayi na kar paayega tu

AaRay aa jaayegii har baar meri naadaani
Mere aage koi daanaayi na kar paayega tu

Khair duniyaa ka bhalaa tujhse kahaaN mumkin hai
Aur mere saath bhi acchaayi na kar paayega tu

MaiN wo patthar huN K jismeiN koi taaseer nahiN
Mukhtasar ye K jabeeNsaayi na kar paayega tu

Ab to har dasht meri zaat ka partau hai yahaaN
Is se badhkar mujhe saudaayi na kar paayega tu

Tujhse mansoob haiN ash’aar kuchh aise bhi mere
Ghaaliban jinki pazeeraayi na kar paayega tu

(Abhishek Shukla)

Harf Lafzon Ki Taraf Lafz Ma’aani Ki Taraf

Harf lafzoN ki taraf lafz ma’aani ki taraf
Laut aaye sabhi kirdaar kahaani ki taraf

Hosh kho baitha tha maiN zardi e jaaN se aur phir
Ik hawaa aayi uRaa le gayi paani ki taraf

Pahle misre meiN tujhe soch liya ho jisne
Jana paRtaa hai use misra e saani ki taraf

Dil meiN ik shakhs ki ummid ka marna tha ki bas
DhaRkaneiN khiNchne lagiN marsiya-khaani ki taraf

Chashm e veeraaN ko baharhaal khushi hai iski
Khaab raaghib to hue naql e makaani ki taraf

Jab fizaa uske badan-rang ki ho jaayegi
Ghaur se dekhenge ham apni jawaani ki taraf

Ham to ik umr hui apni taraf aa bhi chuke
Aur dil hai ki usi dushman e jaani ki taraf

Us se kahnaa ki dhuaaN dekhne laayaq hogaa
Aag pahne hue jaaoonga maiN paani ki taraf

Dil wo dariya hai mire seena e khaali meiN k ab
Dhyaan jata hi nahiN jiski rawaani ki taraf

Uthne lagti hai mire jism se ik boo e firaaq
Raat dekhooN jo kabhi raat ki raani ki taraf

(Abhishek Shukla)

Main Khiradmand Rahoon Ya Tera Vahshi Ho Jaaoon

میں خرد مند رہوں یا تیرا وحشی ہو جاوں
جو بھی ہونا ہے مجھے عشق میں جلدی ہو جاوں

زندگی چاک کی گردش کے سوا کچھ بھی نہیں
میں اگر کوزہ گری چھوڑ دوں مٹی ہو جاوں

پھر سے لے جائے میری ذات سے تُو عشق ادھار
اور میں پھر سے تیرے حسن پہ باقی ہو جاوں

کوئی دم تُو میرے چہرے پہ خوشی بن کے ابھر
کوئی دم میں تیرے چہرے کی اداسی ہو جاوں

یا تو دریا میں بدل جاوں کہ لہریں اٹھیں
ہا بگولوں کاکہا مان لوں آندھی ہو جاوں

اس کی جانب سے کوئی ہجر مجھے آ کے لگے
اور میں معرکہ ء عشق میں زخمی ہو جاوں

جبر کی طرح کوئی جبر کروں اپنے ساتھ
کیوں نا کچھ دیر کو میں اپنے پہ حاوی ہو جاوں

ابھشیک شکلا

MaiN khiradmand rahooN ya tera vahshi ho jaaooN

Jo bhi hona hai mujhe ishq meiN jaldi ho jaaooN

Zindagi chaak ki gardish ke siva kuchh bhi nahiN

MaiN agar koozaagari chhoR dooN mitti ho jaaooN

Phir se le jaaye meri zaat se tu ishq udhaar

Aur maiN phir se tere husn pe baaqi ho jaaooN

Koi dam tu mere chehre pe khushi ban ke ubhar

Koi dam maiN tere chehre ki udaasi ho jaaooN

Ya to dariyaa meiN badal jaaooN ki lahreiN uttheiN

Ya bagooloN ka kahaa maan looN aaNdhi ho jaaooN

Uski jaanib se koi hijr mujhe aa ke lage

Aur maiN maa’rka-e-ishq meiN zakhmi ho jaaooN

Jabr ki tarah koi jabr karooN apne saath

KyoN na kuchh der ko maiN apne pe haavi ho jaaooN

(Abhishek Shukla)

Wagarna Kisko Haasil Thi Yeh Aasaani Banaane MeiN

Wagarna kisko haasil thi ye aasaani banaane meiN
Hui thi aag khud shaamil mujhe paani banaane meiN

Bachaaye rakh K ye baRhti hui raateiN hi iiNdhan haiN
Andhere kaam aa jaate haiN taabaani banaane meiN

Badan unke liye kya mas’ala rah jaaye, jo rooheiN
Mukammal kaam aa jaati hoN uriyaani banaane meiN

MaiN jis par ik shikan ho jaauN aur dekha kare duniya
Lagaa hai waqt ik aisee hi peshaani banaane maiN

HazaaroN ajnabee chehroN se guzari haiN meri aankheiN
Ye soorat zindagi ki jaani pahchaani banaane meiN

Meri takhleeq iske zimme thi, so ab yahi jangal
Lagaa hoga mere hisse ki veeraani banaane meiN

Usi se ishq karke raaigaaN kar lenge kya sab kuchh?
Lagi hai umr jisko dushman e jaani banaane meiN

(abhishek shukla)

Safar Ke Baad Bhi Zauq E Safar Na Rah Jaye

Safar ke baad bhi,  zauq-e-safar na rah jaaye
Khyal-o-khaab mein ab ke bhi ghar na rah jaaye

Main sochtaa huN bahut zindagii ke baaray meiN
Yeh zindagii bhi mujhe soch kar na rah jaaye

Bas ek khauf mein  hotii hai har sehar merii
Nishaan-e-khaab kahiN aaNkh par na rah jaaye

Yeh be-hisi thi to meri zid thi mere ajzaa se
K mujh mein apne ta’aaqub ka dar na rah jaaye

Hawaay-e-shaam!! teraa raQs naaguziir sahi
Yeh meri khaak tere jism per na rah jaaye

Usi ki shakl liya chaahti hai khaak merii
So shahr-e-jaaN mein koi kuza-gar na rah jaaye

Guzar gayaa ho agar qaafila to dekh aao
Pas-e-ghubaar kisi ki nazar na rah jaaye

Main aek or khaRa hun hisaar-e-duniya ke
Wo jis ki zid mein khaRa huN udhar na rah jaaye

(By: Abhishek Shukla)

Apne Jaise Hi Kisi Shakl Mein Dhaalenge Tumhein

Apne jaisi hi kisi shakl meiN dhaalenge tumheiN

Hum bigaR jaayenge itnaa ki banaa lenge tumheiN

Apni aankhoN meiN dhuaaN kar ke to mushkil hogi

Apne seene pa baharhaal bujhaa lenge tumheiN

MujhmeiN paivast ho tum yuN ke zamaane waale

Meri mitti se mere baad nikaalenge tumheiN

Faislaa kar hi liya hum ne agar miTne ka

Kaasa e jism meiN thoRa sa bachaa lenge tumheiN

Jaane kya kuch ho chhupa tum meiN muhabbat ke siva

Ham tasallii ke liye phir se khaNgaalenge tumheiN

Ye zamiN kuchh bhi nahiN aur ye jahaN kuchh bhi nahiN

Ham agar chaaheiN to ik jast meiN jaa lenge tumheiN

Toot saktaa hai bahut jald ye zindaan e badan

Tum hameiN chhoo lo to ham yuN bhi chhuRa lenge tumheiN

Hamne sochaa hai K is baar junooN karte hue

Khud ko is tarh se kho denge k paa lenge tumheiN

Tum se ik jang to laRni hai so laRte hue ham

Apne kheme meiN kisi roz mila lenge tumheiN

   
(abhishek shukla)      

Abhi To Aap Hi Haayil Hai Raasta Shab Ka

Abhi to aap hi haayil hai raasta shab ka
Qareeb aaye to dekheNge hausla shab ka

Chali to aayi thi kuch door saath saath mere
Phir uske baad – khuda jaane kya hua shab ka

Mere khayaal k wahshat kade mein aate hii
JunooN ki noNk se phoota hai aabla shab ka

Sahar ki pahli kiran ne use bikher diya
Mujhe sameTne aaya tha jab khuda shab ka

ZameeiN pe aake sitaaroN ne ye kaha mujhse
Tere qareeb se guzrega qaafila shab ka

Sahar ka lams meri zindagi badha deta
Magar giraaN tha bahut mujhpe kaaTna shab ka

By: Abhishek Shukla

Faseel E Jism Gira De Makaan E JaaN Se Nikal


Faseel e jism gira de makaan e jaaN se nikal

Ye intshaar zada shahr hai..yahaaN se nikal

Teri talaash meiN phirte haiN aaftaab kayi

So ab ye farz hai tujh par ki saaybaaN se nikal

Tamaam shahr par ik khaamushi musallat hai

Ab aisa kar k kisi din meri zabaaN se nikal

Maqaam e vasl to arz o samaa ke beech meiN hai

MaiN is zameen se niklooN..tu aasmaaN se nikal

MaiN apni zaat meiN taareekiyaaN samete hooN

Tu ik charaagh jala..aur ab yahaaN se nikal

Kaha tha mujhse bhi ik din hawaa e sahra ne

Meri panaah meiN aa ja..ghbaar e jaaN se nikal

Safar khud apne musafir ka dhyaan rakhta hai

Bas apni khaak utha..aur  is makaaN se nikal

(By : Abhishek Shukla)

De Uthi Lau Jo Tere Sath Guzaari Hui Sham …

De uThi lau jo tere saath guzaari hui shaam
Hujra e jaaN ki har ik cheez pe taari hui shaam

Umr bhar dhoop lapete rahe apne tan se
Ham se pahni na gayi uski utaari hui shaam

Pahle to mujhse meri zaat ka matlab poochha
Aur phir apne hi ehsaas se ‘aari hui shaam

Ae junooN pooch isi lamha e maujood se poochh
Lams ye kiska uThaaya hai K bhaari hui shaam

Do hi kirdar numaayaaN hain kahaani meiN meri
BekaraaN dasht hua maiN to shikaari hui shaam

Is taraf dasht e badan meiN koi sooraj dooba
Us taraf seena e aflaak se jaari hui shaam

MaiN naseiN kaat ke sooraj meiN utar hi jaata
Par khayaal aaya tera hijr ki maari hui shaam

Kya faqat hamse sawaalaat kiye jaayenge??
Kya faqat hamse mukhatib hai ye haari hui shaam?

Ham ne har shai meiN utarte hue dekha khud ko
Yaad aayi jo tere qurb pe waari hui shaam

By: Abhishek Shukla