Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
Ab kyaa kaheN ye qissaa puraanaa bahut huaa
Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
Ae marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa
Ham Khuld se nikal to gaye haiN par ae Khudaa
Itne se vaaqa’ay kaa fasaanaa bahut huaa
Ab ham haiN aur saare zamaane kii dushmaanii
Us se zaraa sa rabt baRhaanaa bahut [...]
Archive for the ‘Ahmad Faraz’ Category
Us Ko Judaa Hue Bhi …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on October 8, 2009 | Leave a Comment »
Gile Fuzuul The …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on September 25, 2009 | Leave a Comment »
Gile fuzuul the ahad-e-vafaa ke hote hue
So chup rahaa sitam-e-naaravaa ke hote hue
Ye qurbatoN meN ajab faasale paRe k mujhe
Hai aashnaa kii talab aashnaa ke hote hue
Vo hila-gar haiN jo majburiyaaN shumaar kareN
ChiraaGh ham ne jalaaye havaa ke hote huye
Na kar kisii pe bharosaa ke kashtiyaaN DuubaiN
Khudaa ke hote huye naaKhudaa ke hote huye
Kise Khabar [...]
Dil Munaafiq Tha …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on August 25, 2009 | Leave a Comment »
Dil munaafiq tha shab-e-hijr maiN soyaa kaisaa
Aur jab tujh se milaa toot ke royaa kaisaa
Zindagi meN bhi ghazal hi ka Qareenaa raK_khaa
Khaaab dar khaab tere gham ko piroyaa kaisaa
Ab to chehroN pe bhi katboN ka ghumaaN hota hai
AankhaiN patth_raayi hui haiN lab-e-goyaa kaisaa
Dekh ab qurb ka mausam bhi na sar sabz lage
Hijr hi hijr maraasim [...]
Kuchh Na Kisii Se BoleNge …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on August 21, 2009 | 2 Comments »
Kuchh na kisii se boleNge
Tanhaayii meN ro leNge
Ham berahabaroN kaa kyaa
Saath kisii ke ho leNge
Khud to hue rusavaa lekin
Tere bhed na kholeNge
Jivan zahar bharaa saagar
Kab tak amrit gholeNge
NiiNd to kya aayegi ‘Faraz’
Maut aayii to so leNge
***~***
Havaa Ke Zor Se …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on August 20, 2009 | Leave a Comment »
Havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
ChiraaGh ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa
Pukaarte rahe mahfuuz kashtiyoN vaale
MaiN dubtaa hua dariya ke paar utar bhii gayaa
Ab ehatiyaat kii deevaar kyaa uThaate ho???
Jo chor dil meN chhupa tha vo kaam kar bhii gayaa
MaiN chup rahaa k isi meN thii aafiyat jaaN [...]
Ye Kyaa k Sab Se BayaaN …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on August 6, 2009 | Leave a Comment »
Ye kyaa k sab se bayaaN dil kii haalateN karnee
‘Faraz’ tujh ko na aayiiN muhabbateN karnee
Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hameN
Shumaar abhii se judaayii kii sa’ateN karnee
koyi Khudaa ho k patThar jise bhii ham chaaheN
Tamaam umr usii kii ibaadateN karnee
Sab apane apane qariine se muntazir us ke
Kisii ko shukr kisii ko [...]
Huii Hai Shaam …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on July 22, 2009 | Leave a Comment »
Huii hai shaam to aankhoN mein bas gayaa phir tuu
Kahaan gayaa hai mere shahr ke musaafir tuu
Bahut udaas hai ik shakhs, tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usii kii khaatir tuu
Merii misaal k ik nakhl-e-khushk-e-sahraa huuN
Teraa Khayaal k shaakh-e-chaman kaa taair tuu
Main jaantaa huun ke duniyaa tujhe badal degii
Main maantaa huuN ke aisaa [...]
Juz Tere Koi Bhi …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on May 29, 2009 | Leave a Comment »
Juz teray koi bhi din raat na janay meray
Tu kahaN hai magr Ae dost puranay meray
Tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar
Burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray
ShamA ki lau thi k wo tu tha magr hijr ki raat
Dair tak rotA raha koi sarhanay meray
Khalq ki beKhabaree hai k meree ruswayee
Log mujh ko hi sunatay hain [...]
Ranjish Hi Sahi …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on April 29, 2009 | Leave a Comment »
Ranjish hi sahi, dil hi dukhaanay k liye aa
Aa phir se mujhay chhoR k jaanay k liye aa
Pahlay se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-dunya ko nibhaanay k liye aa
Kis kis ko bataayaiNge judaayi ka sabab ham
Tu mujh se Khafa hai to zamaanay k liye aa
Kuchh to meray pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to [...]
Us ko judaa hue bhii …
Posted in Ahmad Faraz, ILHAAMI AAYAAT on April 28, 2009 | Leave a Comment »
Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
Ab kya kaheN ye qissaa puraanaa bahut huaa
Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
Ai marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa
Ham Khuld se nikal to gaye haiN par ae Khudaa
Itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa
Ab ham haiN aur saare zamaane kii dushmaanii
Us se zaraa saa rabt baDhaanaa bahut [...]