Shaam-E-Firaaq Ab Na Puuchh Aayii Aur Aake Tal Gayii … Friday, Dec 11 2009 


Shaam-e-firaaq ab na puuchh aayii aur aake tal gayii
Dil thaa K phir bahal gayaa, jaaN thii K phir sambhal gaii

Bazm-E-khayaal meN tere husn kii sham’aa jal gayii
Dard kaa chaaNd bujh gayaa, hijr kii raat dhal gayii


Jab tujhe yaad kar liyaa, subhh mahak mahak uthii

Jab teraa Gham jagaa liyaa, raat machal machal gayii

Dil se to har mu’aamlaa karake chale the saaf ham
Kahane meN unke saamane baat badal badal gayii


Aakhir-E-shab ke hamasafar ‘Faiz’ na jaane kyaa hue
Rah gayii kis jagah sabaa, subha kidhar nikal gayii


NahiN Nigaah MeN Manzil To Justajuu Hi Sahi … Tuesday, Nov 17 2009 

NahiN nigaah meN manzil to justajuu hii sahii


NahiN visaal muyassar to aarazuu hii sahii


Na tan meN Khuun faraaham na ashk aankhon meN


Namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii


Kisii tarah to jame bazm!! maikade vaalo


NahiN jo baadaa-O-saaGhar to haa-O-hu hii sahii


Gar intezaar kathin hai to jab talak ai dil


Kisi ke vaada-E-fardaa ki guftaguu hii sahii


Dayaar-E-Ghair meN maharam agar nahiN koii


To ‘Faiz’ zikr-E-vatan apne ruubaruu hii sahii

Tumhaari Yaad K Jab Zakhm … Friday, Aug 21 2009 

Tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte haiN


Kisi bahaane tumheN yaad karne lagte haiN


Hadees-e-yaar ke unvaa nikharne lagte haiN


To har hareem meN gesu saNwarne lagte haiN


Har ajnabi hameN mehram dikhayi deta hai


Jo ab bhi teri gali se guzarne lagte haiN


Sabaa se karte haiN gurbat-naseeb zikr-e-watan


To chashm-e-subah meN ansoo ubharne lagte haiN


Vo jab bhi karte hain is nutq-o-lab ki bakhiyaagari


Fazaa mei aur bhi naghme bikharne lagte haiN


Dar-e-qafas pe andhere ki muhar lagti hai


To ‘Faiz’ dil meN sitaare utarne lagte haiN


Gulon MeN Rang Bhare … Thursday, Aug 13 2009 

Gulon Men Rang Bhare, Baad-E-Naubahaar Chale
Chale Bhii Aao K Gulshan Kaa Kaarobaar Chale


Qafas Udaas Hai Yaro, Sabaa Se Kuchh To Kaho
KahiN To Bahr-E-Khudaa Aaj Zikr-E-Yaar Chale


Kabhii To Subh Tere Kunj-E-Lab Se Ho Aagaaz
Kabhii To Shab Sar-E-Kaakul Se Mushkabaar Chale


BaRaa Hai Dard Kaa Rishtaa, Ye Dil Gharib Sahi
Tumhaare Naam Pe Aayenge Gham_Gusaar Chale


Jo Ham Pe Guzarii So Guzarii Magar Shab-E-HijraaN
Hamaare Ashk Terii Aaqebat SaNwaar Chale


Huzoor-E-Yaar Huii Daftar-E-Junuun Kii Talab
Girah Men Leke Garebaan Kaa Taar Taar Chale


Maqaam ‘Faiz’ Koii Raah Men Jachaa Hii NahiN
Jo Kuu-E-Yaar Se Nikle To Suu-E-Daar Chale

Raz-e-ulfat Chupa k … Thursday, Aug 6 2009 

Raz-e-ulfat chupa k dekh liya
Dil bahut kuch jala k dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil laga k dekh liya

Wo mere ho k bhi mere na hue
Unko apna bana k dekh liya

Aj unki nazar maiN kuch hamne
Sabki nazreN bacha k dekh liya

Aas us dar se tuTti hi nahiN
Ja k dekha, na ja k dekh liya

‘Faiz’ takmil-e-Gam bhi ho na saki
Ishq ko aazma k dekh liya

Na GaNvaao Naavak … Monday, Jul 20 2009 

Na gaNvaao naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza gaNvaa diyaa
Jo bache haiN sang samet lo, tan-e-daagh daagh lutaa diyaa

Mere chaaraagar ko naved ho, saf-e-dushmanaaN ko Khabar karo
Wo jo qarz rakhate the jaan par, wo hisaab aaj chukaa diyaa

Karo kaj jabiiN pe sar-e-kafan, mere qaatiloN ko gumaaN na ho
K ghuruur-e-ishq kaa baaNkapan, pas-e-marg hamne bhulaa diyaa

Udhar ek harf k kushtanii, yahaaN laakh uzr thaa guftanii
Jo kahaa to sun ke uDaa diyaa, jo likhaa to padh ke mitaa diyaa

Jo ruke to koh-e-garaaN the ham, jo chale to jaaN se guzar gaye
Rah-e-yaar hamane qadam qadam, tujhe yaadagaar banaa diyaa

Aaye kuchh abr … Tuesday, Apr 28 2009 

Aayey kuchh abr, kuchh sharaab aayey
Us k baad aayey jo azaab aayey

Baam-e-meena se maahtaab utray
Dast-e-saaqi meiN aaftaab aayey

Har rag-e-jaaN meiN phir chiraaGhaaN ho
Saamney phir wo baynaqaab aayey

Kar raha tha Gham-e-jahaaN ka hisaab
Aaj tum yaad bayhisaab aayey

Jal uThay bazm-e-Ghair k darbaaN
Jab bhi ham KhaanumaaN Kharaab aayey

Faiz thi raah sar basar manzil
Ham jahaaN pahuNchey kaamyaab aayey