Phul, Khushbu, Sahaab Honaa To … Thursday, Dec 17 2009 

Phul, khushbu, sahaab honaa to


Ae du’aa mustajaab honaa to


Main gahan tak tujhe na lagne duN


Tum mera maahtaab honaa to


Manzilen intezaar meN hoNgi


Hauslo!! ham rekaab honaa to


Waaqif e sard o garm bhi hona


Haami E inqelaab honaa to


Nuqs tujh me bhi sab nikaleNge


Ek zara kaamyaab honaa to


MaiN use dekh kar hi jita huN


Ho gaya us ka khaab hona to?

Husn Ke Zer E Baar Ho Ke Na Ho … Tuesday, Dec 8 2009 


Husn ke zer E baar ho  K na ho!!
Ab ye dil be-qaraar ho K na ho


Marg E amboh dekh aate haiN!!
AaNkh phir ashkbaar ho
K na ho


Karb E paiham se hogaya pat_thar
Ab ye seenaa figaar ho
K na ho


Phir yahi rut ho ain mumkin hai
Par teraa intezaar ho
K na ho


Shakh E zaitoon ke amiN hum haiN
Shahr meN ishtehaar ho
K na ho


DaaGh E dil hum dikhaye jate haiN
Us pe hai – Sharmsaar ho
K na ho


She’r mere saNbhaal kar rakhna!
Ab ghazal mushkbaar ho
K na ho


ChaNd MeN Jo PariyaaN Rahti HaiN … Monday, Nov 23 2009 

ChaNd meN jo pariyaaN rahti haiN


Hum  ko  milte dekh chuki   haiN



In aankhoN me kyuN rahti ho ??


Jo har   dam  roti  rahti    haiN



Laakh  nikaaluN  dil  se  lekin


Khaab  nigoRe sab ziddi  haiN



Us malakooti  husn ke,  logo


Jitne Dhab haiN, aafaaqui haiN



Aaj  jise  sun  kar tum  roye


Wo baateN mujh per beeti haiN

Kab Hawa E Sitam Se Darte The … Wednesday, Nov 18 2009 

Kab hawaa E sitam se darte the
Khaahish E rang O boo jo karte the


Us gali meN kabhi na khaak uRe
Be sabab jis se hum guzarte the


Uski yaadeN udaas karti thiN
Uski yaadoN se hi saNwarte the


Ek aisa bhi daur guzraa hai
Log aapas meN pyaar karte the


Jaane kya mashGhalaa hai ab unka
Zindagi meN jo rang bharte the


Abke Yeh Ehteyaat Bhi Kar Jaanaa Chaahiye … Tuesday, Nov 17 2009 

Abke ye ehteyaat bhi kar jaanaa chaahiye !!!
Andhi se qabl khud hi bikhar jaanaa chaahiye


Haan jab mujhe jamood ki tohmat hi mil gayi
To dil se bhi khayaal E safar jaanaa chaahiye


Sab raaste hisaar ke jangal meN qaid haiN
Kya faisla kareN K kidhar jaanaa chaahiiye


Rahzan to sab kamaayaa jua maal le gaye
Ab sirf jaan leke na ghar jaanaa chaahiye


Karte haiN be sabab hi khataayeN ma’aaf jo
Aise “khataa ma’aaf” se dar jaanaa chaahiye


Kuchh faisle to hoNge mere ikhtiyaar ke
Aankhon se ye Ghilaaf utar jaanaa chahiye


Jab mere paas us ke liye chhat talak nahi
Ae uski aarzoo, tujhe mar jaanaa chaahiye

Jab Bhi Meraa Ehtesaab Hogaa … Monday, Nov 16 2009 

Jab bhi meraa ehtesaab hogaa


Sach se bahut ijtenaab hogaa

*~*


Phir band palak pe tez dastak


Jaane do, koi khaab hogaa

*~*


Kya soch ke jashn hum manaayeN


Kya ab na koi azaab hogaa !!??

*~*


Hai jurm meri samaa’atoN ka


Qaul uska kyuN kharaab hogaa

*~*


HaiN ma’aaf unke QahQahe! aur


AahoN kaa meri hisaab hogaa

*~**~**~*

Khush Numa Lafz Ki … Friday, Nov 13 2009 



Khush numa lafz ki sawaari bas

Shahr walon ko ek madaari bas

Ishq me aur kya hua hum se

Dhang se ki hai ashk baari bas

Ek nauras kali ka gul banna

Zindagi!! teri payedaari bas

Fasl e gul kaynat ki, mujh ko

Teri chahat ki aik kyaari bas

Manzilen ghair ke liye makhsus

Apne hisse me khaabkaari bas

Ek bejaan muskurahat hai !!!!

Oonche logon ki inkesaari bas

Aur kiyaa seekhte zamaane se

Hogaye hum bhi kaar O baari bas

JahaaN Kharaab Sahi Hum Badan Dareedaa Sahi … Tuesday, Nov 10 2009 

JahaaN kharaab sahi hum, badan dareedaa sahi
Teri talaash me  nikle haiN,  paa bureedaa sahi

Jahaan E she’r  meN meri kayee riyaasateN haiN!
MaiN apne shahr me gumnam O na shuneedaa sahi

Bhale hi chhaaoN na de, aasraa to detaa hai
Ye aarzu ka shajar hai, khazaaN raseedaa sahi

Inhi  bujhi  hui  aankhoN  me  khaab utreNge
YaqiN na chhor, ye bimaar O shab gazeedaa sahi

DiloN ko joRne waali Ghazal salaamat hai
Ta’alluqaat hamaare agar kasheedaa sahi

Mere beGhair har ek daastaaN adhoori si
MaiN us kitaab me ek lafz E khat-kasheeda sahi

Tere Maqtal Ki Aabroo … Tuesday, Nov 10 2009 

Sehn E maqtal ki aabroo hum the

Qatl ke waqt baa-wazoo hum the

Yeh nadee ab kise bulaati hai?

Pahle to is ki justajoo hum the

Apni basti ko yaad hai ke nahiN

Uski galiyoN ki haau-hu hum the

Tishnagii de rahi thi sairaabi!!

Pyaas k din kanaar E joo hum the

Apne kuchh khaab yad aane lage

Raat maazi ke ru baroo hum the

Jaane kis baat pe vo rooth gaye

Hum nawaalaa the hum sobu hum the

Us ne haNs kar hameN … Monday, Nov 9 2009 

Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya
Ho gayaa phir se woh hamaaraa kya?


Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai
Aa raha hai wo maah paaraa kya?


Aarzoo, khaab, aas, mahroomii !!
Hausla phir bhi hum ne haaraa kya


Meri aankheN udaas rahti haiN
Ab na aaye ga wo dobaaraa kya?


AsmaaN par nazar nahi aataa
Khogaya hai mera sitaaraa kya


Dard  ki  saltanat pe baithaa hai
Koi  farma-N-rawaa dobaaraa kya


Ae dil e beqarar -  rahne de!!!
Shahr e taskeen me hamaaraa kya


Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamaaraa kya


Next Page »