Raat Ke Khaab SunaayeN Kis Ko … Thursday, Dec 17 2009 


Raat ke Khaab sunaayeN kis ko raat ke Khaab suhaane the
DhuNdhle dhuNdhle chehre the par sab jaane pahchaane the


Ziddii vahshii alhaR chanchal miiThe log rasiile log
HoNT un ke GhazaloN ke misr’e aaNkhoN meN afsaane the


Ye laRkii to in galiyoN meN roz hii ghuumaa kartii thii
Is se un ko milnaa thaa to is ke laakh bahaane the


Ham ko saarii raat jagaayaa jalte bujhte taaroN ne
Ham kyuuN un ke dar pe utre kitne aur Thikaane the


Vahshat kii unvaan hamaarii in meN se jo naar banii
DekheNge to log kaheNge ‘Insha’ ji diiivaane the


Sunte HaiN Phir Chhup Chhup Unke Ghar MeN Aate Jaate Ho … Wednesday, Aug 19 2009 

Sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho
Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho


Dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho
Ban meN daanaa, shahr ke andar diivaane kahlaate ho


Bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath
AaNkh churaa kar dekhte ho, phir bhole bhii ban jaate ho


Peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam
Aap jahaaN meN rusvaa hoge, vaa’z hameN farmaate ho


Ham se naam junuuN kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?


Apne Hamraah Jo Aate Ho Idhar Se Pahle … Tuesday, Aug 4 2009 

Apne  hamraah jo aate ho  idhar se pahle
Dasht paRta hai miyaN ishq meiN ghar se pahle

Chal diye uThke su-e-shahar-e-wafa, ku-e-habib
Puchh lena tha kisi khaak basar se pahle

Ishq pahle bhi kiya hijr ka Gham bhi dekha
Itne taRrpe hain na ghabraye na tarse pahle

Ji bahalta hi nahin ab koi saa’at, koi pal
Rat Dhalti hi nahin chaar pahar se pahle

Ham kisi dar pe na thithke na kahiN dastak di
Saikaron dar the meri jaN tere dar se pahle

Chand se aankh mili, ji ka ujala jaga
Ham ko sou bar hui subh, sahar se pahle

Dekh Hamaaray Maathay Pe Yeh Dasht-E-Talab Ki Dhool MiyaaN … Tuesday, May 12 2009 

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan
Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan

Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan
Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan

Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya
Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan

Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan

Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain
Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan

Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr
Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan

Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay
Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan?

Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN
Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan

Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!

Kal ChaudhaviiN Ki Raat Thii Shab Bhar Rahaa Charchaa Tera … Monday, May 4 2009 

Kal chaudhaviiN kii raat thii shab bhar rahaa charchaa teraa
Kuchh ne kahaa ye chaaNd hai kuchh ne kahaa cheharaa teraa

Ham bhii vahiiN maujuud the ham se bhii sab puuchhaa kiye
Ham haNs diye ham chup rahe manzuur thaa pardaa teraa

Is shahar meN kis se mileN ham se to chhuuTii mahafileN
Har shaKhs teraa naam le, har shaKhs diivaanaa teraa

Kuuche ko tere chhoR kar,  jogii hii ban jaayeN magar
Jangal tere, parbat tere, bastii terii, saharaa teraa

Ham aur rasm-e-bandagii, aashuftagii, uftaadagii
Ehasaan hai kyaa kyaa teraa ai husn-e-beparvaa teraa

Do ashk jaane kis liye palkoN pe aa kar Tik gaye
Altaaf kii baarish terii, ikraam kaa dariyaa teraa

Ae bedaareGh-o-be_amaaN ham ne kabhii kii hai fuGaaN
Ham ko terii vahashat sahii ham ko sahii saudaa teraa

Tuu bevafaa tuu maharabaaN, ham aur tujh se bad-gumaaN?
Ham ne to puuchhaa thaa zaraa ye vaqt kyuuN Thahraa teraa

Ham par ye saKhtii kii nazar ham haiN faqiir-e-rah_guzar
Rastaa kabhii rokaa teraa, daaman kabhii thaamaa teraa?

HaaN haaN terii suurat hasiiN, lekin tuu aisaa bhii nahiiN
Is shaKhs ke ash’aar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa

Beshak usii kaa dosh hai, kahataa nahiiN Khaamosh hai
Tuu aaQ kar aisii davaa, biimaar ho achchhaa teraa

Bedard sun_nii ho to chal, kahataa hai kyaa achchhii Gazal
Aashiq teraa, rusavaa teraa, shaayar teraa “Inshaa” teraa

Dil Ishq MaiN BepaayaaN, Sauda Ho To Aisa Ho … Friday, Apr 24 2009 

Dil ishq meiN bepaayaaN, sauda ho to aisa ho
Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho


Ham se nahiN rishta bhi, ham se nahiN milta bhi
Hai paas wo baiTha bhi, dhoaka ho to aisa ho


Wo bhi raha baygaana, ham ne bhi na pehchaana
HaaN ai dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho


Ham ne yahi maaNga tha, us ne yahi baKhshaa hai
Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho


Is daur meN kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi
KaaNTa ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho


Ai Qais junooN paisha, Insha ko kabhi dekha?
Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Is Shahr MaiN Ji Ka Lagana Kya … Thursday, Apr 9 2009 

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya

Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi
Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya

Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai
KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya

Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari
Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya

Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai
Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya

Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN
Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya

Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann
Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya

Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN,  KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare
Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya