Sochtaa HuN K Mahfuz Kar LuN Ise Apne Sine MeN … Monday, Nov 23 2009 

Sochtaa huuN K mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah


ThoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah


Yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mere haath meN haath de


Tuu havaa-E-sar-E-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-E-raayegaaN kii tarah


Haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baaNdh kar le chalaa


Mera maazii mere saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah


sang-E-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa


Raftaa raftaa sabhii ne saroN par koyii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah


KhaahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-E-balaa-Khez bantii gayii


Jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah


Badan Ke DonoN KinaaroN Se Jal Raha HuN MaiN … Thursday, Nov 19 2009 

Badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN


K chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN


Tujhii pe Khatm hai jaanaaN mere zavaal kii raat


Tuu ab tulu’ bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

Bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko


To aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-raahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh


Havaa-e-taazaa! tere saath chal rahaa huuN maiN

MaiN Khaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai


Aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

Shama’e Tanha ki tarah … Monday, Nov 9 2009 

Shama’e tanha ki tarah, subh k taare jaise
Shahr me ek hi do hoNge hamaare jaise


Chhoo gaya tha kabhi is jism ko ek sho’la e zard
Aaj tak khaak meN uRte hain sharaare jaise


Sakht jaaN hum sa koi tumne na dekah hoga
Humne qaatil kayi dekhe hain tumhaare jaise


Hausle deta hai ye abr e gureezaaN kya kya
Zindaa hoN dasht me hum iske sahaare jaise


Ab jo chamka tera khanjar to khyaal aata hai
Tujh ko dekha ho kahiN nahr kinaare jaise


Deednee hai mujhe seene se lagaanaa uska
Apne shaanoN se koi bojh utaare jaise


Uski aankheN hain k ek doobne waalaa insaan
Doosre doobne waale ko pukaare jaise

Shola-e-ishq Bujhaana … Friday, Apr 24 2009 

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai


us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai


sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai


kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai


apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiN
ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai


mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai