Koi Haalat Bhi … Wednesday, Oct 7 2009 

Koi haalat bhi ab taari nahiN hai
To kya yeh dil ki naadaari nahiN hai

MaiN huN aesey safar par jaaney wala
K jis ki koi tayyaari nahiN hai

HuN zadd par is tarah teer-e-fana ki
Abhi jaisay meri baari nahiN hai

KahuN kya, kitna be araam huN maiN
Meri ummeed abhi haari nahiN hai

MaiN apnay aap sey hooN ghair kitna
Kisi sey bhi meri yaari nahiN hai

HuN behadd tangg apne aap sey maiN
K ab tak khud sey bayzaari nahiN hai

Yeh meri zindagi, meri aziyyat
Hai aisa waar, jo kaari nahiN hai

ALAMM uth’tey to haiN ab bhi hamarey
Magar wo girya o zaari nahiN hai

Gila kar ab bichaRney meiN hamaray
Meri JaaN ! Koi dushwaari nahiN hai


Kab Uska Visal Chahiye Tha … Thursday, Aug 20 2009 

Kab uskaa visaal chaahiye thaa
Bas aik Khayaal chaahiye thaa

Kab dil ko javaab se Gharaz thii
HoNToN ko savaal chaahiye thaa

Shauq yek nafas thaa aur vafaa ko
Paas-e-mah-o-saal chaahiye thaa

Ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
Be-misl-o-misaal chaahiye thaa

Ek Karb meN zaat-o-zindagii haiN
Mumkin ko mahaal chaahiye thaa

Ham to Jaise YahaaN … Thursday, Aug 6 2009 

Ham to jaise yahaaN ke the hii nahiiN
Dhuup the saayabaaN ke the hii nahiiN


Raaste  kaaravaaN ke saath rahe
Marhale kaaravaaN ke the hii nahiiN


Ab hamaaraa makaan kis kaa hai?
Ham to apane makaaN ke the hii nahiiN


In ko aaNdhi meN hii bikharanaa thaa
Baal-o-par aashiyaaN ke the hii nahiiN


Us galii meN ye sun ke sabr kiyaa
Jaane vaale yahaaN ke the hii nahiiN


Ho terii Khaak-e-aastaaN pe salaam
Ham tere aastaaN ke the hii nahiiN

Maskan-E-Maah-O-Saal … Saturday, Jun 27 2009 

Maskan-e-maah o saal chhoR gaya
Dil ko uss ka khayaal chhoR gaya

Taaza dam jism o jaaN thay furqat meiN
Wasl , uss ka nidhaal chhoR gaya

Ahd-e-maazi jo tha ajab pur haal
Aik weeraan haal chhoR gaya

Zaala baari k marhaloN ka safar
Qaaflay, paayemaal chhoR gaya

Dil ko ab yeh bhi yaad ho k na ho
Kaun tha , kia malaal chhoR gaya

MaiN bhi ab khud se huN jawaab talab
Wo mujhey , bay sawaal chhoR gaya

Yeh Gham Kya … Tuesday, Jun 2 2009 

Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to
Kisi sey kuch shikaayat hai?Nahi to

Hai wo ik khaab-e-be taabeer us ko
Bhula dene ki neeyyat hai?Nahi to

Kisi k bin,  kisi ki yaad k bin
Jiye jaane ki himmat hai?Nahi to

Kisi soorat bhi dil lagta nahi?haan
To kuch din se ye haalat hai?Nahi to

Tujhey jis ney kahiN ka bhi na rak_kha
Wo ik zaati si wehshat hai?Nahi to

Trey is haal par hai sab ko hairat
Tujhey bhi iss pe hairat hai?Nahi to

Hum aahangee nahi dunia sey teri
Tujhey is par nadaamat hai?Nahi to

Hua jo kuch yehi maqsoom tha kia?
Yehi saari hikaayat hai?Nahi to

Azeeyyat naak ummeedoN sey tujh ko
AmaaN paaney ki hasrat hai?Nahi to

Tu rehta hai khayaal O khaab meiN gum
To is ki wajh fursat hai?Nahi to

WahaaN waloN se hai itni muhabbat
YahaaN waloN sey nafrat hai?Nahi to

Sabab jo is judaai ka bana hai
Wo mujh se khoobsoorat hai?Nahi to

Ek hunar hai … Thursday, Mar 26 2009 

Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN??
Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

Ab hai bus apna saamnaa darpesh
Har kisii se guzar gayaa huuN maiN

Vohii naaz-o-adaa,  vohii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

Ajab ilzaam huuN zamaane kaa
Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN


Gaahe gaahe bas ab … Monday, Mar 23 2009 

Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya?
Tumse mil kar bahut khushi ho kya?

Mil rahi ho bare tapaak ke saath,
Mujhko yeksar bhula chuki ho kya?

Yaad hain ab bhi apne khaab tumheN?
Mujhse mil kar udaas bhi ho kya?

Bas mujhe yun hi ik khayal aaya,
Sochti ho to sochti ho kya?

Ab meri koi zindagi hi nahin,
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?

Kya kaha, ishq jaawidaani hai?
Aakhri baar mil rahi ho kya?

Haan, faza yaan’ ki soyi soyi si hai
To bahut taiz roshni ho kya?

Mere sab tanz be-asar hi rahe,
Tum bohat door ja chuki ho kya?

Dil mein ab soz-e-intezar nahin,
Shamm-e ummeed bujh gayi ho kya?

Is samandar pe tashna kaam huN maiN,
‘Baan’ tum ab bhi beh rahi ho kya