Posted by: Ghalib Ayaz on: July 13, 2009
Ye dil, ye paagal dil mera kyuN bujh gayaa? aavaargii
Is dasht meN ik shahar thaa wo kyaa huaa? aavaargii
Kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chauNkaa diyaa
MaiN ne kahaa tuu kaun hai? us ne kahaa aavaargii
Ik tuu k sadiyoN se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii
Ik maiN k tere naam se naa_aashnaa aavaargii
Ye dard kii tanhaa_iyaaN, [...]
Posted by: Ghalib Ayaz on: May 26, 2009
Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee,
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thee.
Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka,
Rasta badal k chalne ki aadal usay bhi thee.
Us raat dair tak wo raha mahav-e guftagoo,
Masroof main bhi kam tha faraagat usay bhi thee.
Mujh se bichhar k shahar main ghul mil gaya [...]