Shaamyanay Meri Gheebat MeN Hawa Taan_ti Hai … Monday, Dec 21 2009 


Shaamyanay meri Gheebat meN hawa taan_ti hai


GaaoN meN meray na hoonay sai baRi shaan_ti hai


Wo bagola hai ke uRnay pe sadaa aamaadaa


MaiN jo mitti huN to mitti bhi kahaaN maan_ti hai


Dekhnaa kaisay humaknay lagay saray pat_thar


Meri wahshat ko tumhari gali pahchaan_ti hai


Phool banti hai kali hansatay haNsaatay lekin


Uskay dil pe jo guzarti hai wohi jaan_ti hai


Meri koshish hai K duniyaa ko banaadooN firdaus


Aur duniya mujhay naakaaroN men gardaan_ti hai


Hum ko ek haal meN qismat nahi rahnay deti


Kabhi mitti men milati hai, kabhi chhaan_ti hai


Dubo Kar Khoon MeN LafzoN Ko Angaaray Banaataa HooN … Monday, Dec 14 2009 



Dubo kar khoon meN lafzoN ko angaaray banaataa hooN
Phir angarooN ko daheka kar ghazal paaray banaataa hooN


ZamiN par hi rafooo ka dher sara kaam baqi hai
KhalaaoN say na kahe dena K saiyaaray  banaataa hooN


Mere hathoN ke chhalay phool ban jatay haiN kaghaz par
Meri aankhooN say poocho raat bhar taaray banaataa hooN


Jidhar maati uRaa dooN aftaab E taazaa paidaa ho
Abhi bachchoN main hoon saabun ke ghubbaaray banaataa hooN


Zamaanaa mujh se barham hai mera sar is liyee kham hai
K mandir ke kalas, masjid ke meenaaray banaataa hooN


Mere bachchay khaRe haiN balti le kar qataaroN meN
KuiaiN, taalaab, nahraiN aur fawwaaray banaataa hooN


Muzaffar waaqayi be dast-O-paa hooN maiN to kya Gham hai
Yeh kya kam hai ke mansoobay bahoot saaray banaataa hooN


Fanaa MeN Zindagi Ka Isti’aaraa Doob Jaaye Ga … Wednesday, Dec 9 2009 

Fanaa meN zindagi ka isti’aaraa doob jaaye ga


Yeh wo dul dul hai, jis ne sar ubhaaraa doob jaaye ga


Koi kahta tha do hi din hooyy thay un ki shadi ko


Kisay maloom tha Dul meN shikaaraa doob jaaye ga


Agar masoom ka hur qatra-e khooN ek samundar hai


Tau chuloo bhar lahoo meN shaher saaraa doob jaaye ga


Yeh liptay baadbaan, yeh kashtiyoN ke jhooltay langar


Sabhi aasaar kahte haiN, kinaaraa doob jaaye ga


Suna hai zor ghat jaayee ga darya ka saweray tak


Madad aanay say pahlay ghar hamaaraa doob jaaye ga


MaiN apna she’r kaise nazr kar dooN ahl E daulat ko


Ujaalay meN to yeh roushan sitaaraa doob jaaye ga


‘Muzaffar’ kyuN taRaptay ho kaha tha hum ne pahlay hi


Ke aaNsooN mat piyo, aankhooN mein paaraa doob jaaye ga


Safeenay Hi Ko Tere Vastay Toofaan Kar Dega … Monday, Dec 7 2009 


Safeenay hi ko tere wastay toofaan kar dega
Samundar ek din mushkil teri aasaan kar dega

Agar muNh zor maujoN ko lagaamaiN de nahiN saktay
To yeh dariya tumharay khait raigistaan kar dega

Muhabbat aarzo_oN ki nayi basti basaaye gee
JunuuN baRh kar dar-O-diwar ko maidaan kar dega

Samajhta hai mere ash’aar par tanqeed likhnay say
Wo meri saat pushtoN par baRa ehsaan kar dega

Abhi ummeed baqi hai ke wo bichRa huaa saathi
Kisi bhi moR par mill kar hamaiN hairaan kar dega

Teri qurbat meN rah kar mujh ko bhi izaat mili lekin
Yahi saamaan aapas meN hamaiN anjaan kar dega

Usay nazdeek aa kar door rahna khooob aata hai
Wo zalim muskura kar bhi tera apmaan kar dega

Baher surat basher hai dost, paiGhamber nahiN koi
Wo apnay naf’a par beshak tujhay qurbaan kar dega

Ajab kamzor lamhay meN sada di hai sadaqat ne
‘Muzaffar’ aaj har qatra lahoo ka daan kar dega


Eeitaay E Khafi Meri Ghazal … Tuesday, Nov 10 2009 

Eeitaay E khafi meri Ghazal meN bhi nikaali
Zaalim ne kami taaj mahal meN bhi nikaali


Zaahir hai k anjaam k phal aayeNge is meN
Ek shaakh mere husn E amal meN bhi nikaali


Sar deke bhi khush hai k sar afraaz ne tere
ThoRi si kaji teGh E ajal me bhi nikaali


Ho jayega paimaanaa mere sabr ka labrez
Turshi jo mere sabr k phal me bhi nikaali


Ab is pe shab E wasl ka ilzaam na rakhiye
Ek neeNd mere baazu E shal meN bhi nikaali


Dhabbe mere daaman k bahut usne ginaaye
Phir maine chhurii uski baGhal meN bhi nikaali

Main Gunahgaar, Aur Anginat Paarsaa … Monday, Aug 10 2009 

Main gunahgaar, aur anginat paarsaa, chaar jaanib se yalghar karte hue
Jaise shabkhuun meN baukhlaa kar utheN, log talwaar talwaar karte hue

Phir chhati his ne parche lagaaye bahut, aayine aaqebat ne dikhaaye bahut
Bhaayee ne aaj kyuuN mujh ko dekha nahi, taajposhi ka darbaar karte hue

Yeh zamaanaa  laga hai  k ab jism me,  khaar k waaste khuun baqui nahiN
Ek woh waqt bhi tha k chalte the hum, raaste bhar ko gulnaar karte hue

Ur rahi thi wahaaN gard tashkik ki, aandhiyaaN tez thiN tanz-o-tazhik ki
Raaste meN paRaa  nek – naami  ka pul, khauf aayaa jise paar karte hue

Berukhi ki hawaayeN muwafiq na thiN, kaise ikhlaaq ki koNpaleN phuT_tiN
Chaar aansu zaminoN ko num kargaye, sard lafzoN ko be-kaar karte hue

Woh kharaasheN dikhate rahe haath ki, sang baari k dauraan aayiN thiN jo
Aur idhar zakhm e sar hum chhupaate rahe, khuub tazyeen e dastaar karte hue

Tarz e t’ameer k kuchh naye zaviye, asr-e-nau ko muzaffar ne bakhshe to hain
Apni hi zaat par waar karte hue,  apni hasti ko mismaar karte hue

Dariya Ke Paas Aur … Friday, Jul 17 2009 

Dariya k paas aur  bahaanaa to hai nahi
kahta hai chal k tera thikaana to hai nahi

Thori si raoushni hai,  use jo bhi loot le
Jugnu miyaN k paas khazaana to hai nahi

Hum Jaye-Haadsaa se bahut door aagaye
Zakhmi ki cheekh koi taraanaa to hai nahi

Jab kah diya to baat nibhadenge umr bhar
HalaNki dosti ka zamaanaa to hai nahi

Laavaa sa khaulta hai sadaa andrun-e-zaat
Aatish fashan-e-gham ka dehaana to hai nahi

Deewaana hai jo us se tawaqqo’ rakhe koi
Aakhir wo rahnuma hai diwanaa to hai nahi

Chubh jayeN jane kis ko ‘Muzaffar’ hamare she’r
Har chand koi khaas nishaana to hai nahi