Hoti Hai Tere Nam Se Wahshat Kabhi Kabhi … Monday, Dec 14 2009 

Hoti Hai Tere Nam Se Wahshat Kabhi Kabhi
Barham Hui Hai YuN Bhi Tabi’at Kabhi Kabhi


Ai Dil Kise Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab
Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi


Tere Karam Se Ai Alam-E-Husn-E-Afrin
Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi


Dil Ko Kahan Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab
Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi


Josh-E-Junun MeN Dard Ki TuGhyaniyoN K Sath
AshkoN MeN Dhal Gayi Teri Surat Kabhi Kabhi


Tere Qarib Rah K Bhi Dil Mutma’in Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe  Ye
Bhi Qayamat Kabhi Kabhi


Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha
Yun Bhi Guzar Gayi Shab-E-Furqat Kabhi Kabhi


Ai Dost Ham Ne Tark-E-Muhabbat K Baawajud
Mahsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi

Kitna Kaam KareNge … Tuesday, Nov 24 2009 



Kitnaa kaam kareNge


Ab aaraam kareNge

Tere diye hue dukh


Tere naam kareNge


Ahal-E-dard hi aakhir


KhushiyaaN aam kareNge


Kaun bacha hai jise voh


Zer-E-daam kareNge


Naukri chhoR k ‘Nasir’


Apnaa kaam kareNge




Yaas MeN Jab Kabhi AaNsuu Nikla … Thursday, Nov 19 2009 

Yaas meN jab kabhi aaNsuu niklaa
Ek nayii aas kaa pahluu niklaa

Le uRii sabza-e-Khudrau ki mahak
Phir terii yaad kaa pahluu niklaa

MiiThii bolii meN papiihe bole
Gungunaataa huaa jab tuu niklaa

AayiiN saavan kii andherii raateN
KahiiN taaraa, kahiiN jugnuu niklaa

Naye mazmuun sujhaatii hai sabaa
Kyaa idhar se vo suman-buu niklaa

PaaNv chhilne lagii jaltii huii ret
Dasht se jab koii aahuu niklaa

Kayii din raat safar meN guzre
Aaj to chaaNd lab-e-juu niklaa

Taaq-e-maiKhaanaa meN chaahii thii amaaN
Vo bhii teraa Kham-e-abruu niklaa

Ahl-e-dil sair-e-chaman se bhii gaye
Aks-e-gul saayaa-e-gesuu niklaa

Vaaqe’aa ye hai ke badnaam hue
Baat itnii thii ke aaNsuu niklaa

Dil MeN Ek Lahr Si UThi Hai Abhi … Thursday, Aug 6 2009 

Dil meN ik lahr sii uThii hai abhii
koyii taazaa havaa chalii hai abhii

Shor barpaa hai Khaanaa-E-dil meN
Koyii diivaar sii girii hai abhii

Kuchh to naazuk mizaaj haiN ham bhi
Aur yeh choT bhii nayii hai abhii

Bharii duniyaa meN jii nahiiN lagtaa
Jaane kis chiiz kii kamii hai abhii

Tuu shariik-e-suKhan nahiiN hai to kyaa
Ham-suKhan terii Khaamushii hai abhii

Yaad ke be-nishaaN jaziiroN se
Terii aavaaz aa rahii hai abhii

Shahr ki be – charaaG galiyoN meN
Zindagii tujh ko DhuNDhtii hai abhii

So gaye log  us havelii ke
Ek khiDakii magar khulii hai abhii

Tum to yaaro abhii se uTh baiThe
Shahr meN raat jaagatii hai abhii

Vaqt achchhaa bhii aayegaa ‘Nasir’
Gham na kar zindagii paDii hai abhii


Wo SahiloN Pe Gaane Waale Kya Hue … Thursday, Jul 30 2009 

Wo sahiloN pe  gaane waale kya hue
Wo kashtiyaN Chalane waale kya hue

wo dil meN khubne waali aankheN kya huiN
Wo hoNt muskuraane waale kya hue

Wo subh aate aate rah gayi kahaN
Jo qaafle the aane waale kya hue

MaiN jin ki raah dekhta hun rat bhar
Wo raushani dikhane waale kya hue

Ye kaun log haiN mere idhar udhar
Wo dosti nibhaane waale kya hue

ImaarateN to jal k rakh ho gayiN
ImaarateN banaane waale kya hue

Ye aap ham to bojh haiN  zamin ka
ZamiN ka bojh uthaane waale kya hue

Niyyat-E-Shauq Bhar Na Jaaye KahiN … Thursday, Apr 9 2009 

Niyyat-e-shauq bhar na jaaye kahiN
Tu bhi  dil se  utar na jaaye kahiN

Aaj dekha hai tujh ko der k baad
Aaj ka din guzar na jaaye kahiN

Na milaa  kar udaas logon se
Husn tera bikhar na jaaye kahiN

Aarzoo hai k tuu yahaan aaye
Aur phir umar bhar na jaaye kahiN

Jee jalaata huN aur ye sochta huN
Raayegaan ye hunar na jaaye kahiN

Aao kuch der  ro hi len ‘Nasir’
Phir ye dariya utar na jaaye kahiN

Dayaar-E-Dil Ki Raat MeN CharaaGh Sa Jalaa Gayaa … Tuesday, Mar 31 2009 

Dayaar-e-dil ki raat meiN charaaGH saa jalaa gayaa
Milaa nahiN to kyaa huaa wo Shakl to dikhaa gayaa

JudaaioN ke ZakHm dard-e-Zindagi ne bhar diye
Tujhe bhi Neend aa gayi mujhe bhi Sabr aa gayaa

Yeh subh ki SafediyaaN yeh dopahar ki ZardiyaaN
Ab Aaine meiN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa

Pukarti haiN FursateiN kahaaN gaiN wo SohbateiN
ZameeN nigal gai unheiN yaa Aasmaan khaa gayaa

Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui
Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa

yeh kis kHushi ki Ret par gHamoN ko Neend aa gai
Wo lehar kis taraf gai ye maiN kahaaN samaa gayaa

Gaye dinoN ki Laash par pare rahoge kab talak??
UTho amal-kasho  keh Aaftaab sar pe aa gayaa

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai … Monday, Mar 30 2009 

Musalsal bekalee dil ko rahee hai
Magar jeene ki surat to rahee hai

Main kyun phirta huN tanha maara maara
Ye bastee chain se kyuN so rahee hai

Chale dil se ummeedoN ke musaafir
ye nagari aaj Khaali ho rahee hai

Na samajho tum ise  shor-e-bahaaraaN
KhazaaN pattoN mein chhup ke ro rahee hai

Hamare ghar ki diivaaroN pe ‘Nasir’
Udaasee baal khole so rahee hai

Aaraaish-E-Khyaal Bhi Ho Dil Kushaa Bhi Ho … Friday, Mar 20 2009 

Aaraaish-e Khayaal bhii ho dil kushaa bhi ho
Wo dard ab kahaaN  jise jee chahta bhi ho!

Ye kya k roz aik saa gham aik see umeed,
Is ranj-e be-khumaar ki ab intehaa bhi ho.

Ye kyaa k aik tor se guzare tamaam umr,
Jee chaahtaa hai ab koi tere sivaa bhi ho.

Toote kabhi to khuwab-e shab-o-roz ka tilism,
Itne hujoom main koi chehraa naya bhi ho.

Dewangii-e shoq ko ye dhun hai in dinon,
Ghar bhi ho aur be-dar-o-deewaar sa bhi ho.

Juz dil koi makaan nahin dahar main jahaan,
Rah-zan ka khof bhi na rahe dar khulaa bhi ho.

Har zarra aik mahamil-e-ibrat hai dasht ka,
Lekin kise dikhaaoon koi dekhtaa bhi ho.

Har shay pukaaratii hai pas-e pardaa-e-sukoot,
Lekin kise sunaaoon koi hum-navaa bhi ho.

Fursat main sun shaguftagii-e Gunchaa ki sadaa,
Ye wo sukhan nahin jo kisii ne kahaa bhi ho.

Baithaa hai aik shakhs mere paas dair se,
Koi bhalaa-saa ho to humain dekhtaa bhi ho.

Bazm-e sukhan bhi ho sukhan-e garm k liye,
Taa-uus boltaa ho to jangal haraa bhi ho.

Kuchh To Ehasaas-E-ZayaaN Thaa Pahle … Thursday, Mar 12 2009 


Kuchh to ehasaas-e-zayaaN thaa pahle
Dil kaa ye haal kahaaN thaa pahle

Ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
Har qadam sang-e-nishaaN thaa pahle

Safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
Waqt be-qaid-e-makaaN thaa pahle

Ye alag baat ki gham raas hai ab
Is me andeshaa-e-jaaN thaa pahle

YuuN na ghabaraaye huye phirte the
Dil ajab kunj-e-amaaN thaa pahle

Ab bhii tuu paas nahii hai lekin
Is qadar duur kahaaN thaa pahle

Dere Daale haiN bagoloN ne jahaaN
Us taraf chashm-e-ravaaN thaa pahle

Ab vo dariyaa na vo bastii na vo log
Kyaa Khabar kaun kahaaN thaa pahle

Har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
MaiN bhii aabaad makaaN thaa pahle

Kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
Tuu vahiiN par hai jahaaN thaa pahle

Ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
Kaisaa sun_saan samaaN thaa pahle

Ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaaN
Dard majabuur-e-fuGaaN thaa pahle

Ham ne roshan kiyaa maamuur-e-gham
varnaa har samt dhuaaN thaa pahle

Gham ne phir dil ko jagaayaa ‘Nasir’
Khaanaa_barbaad kahaaN thaa pahle

Next Page »