Urdu Ghazals by Ghalib Ayaz and Others, Modern Shairy

Archive for the ‘Qateel Shifayi’ Category

Ye Mo’jezaa Bhii Muhabbat Kabhi …

Posted by: Ghalib Ayaz on: August 17, 2009

Ye mo’jezaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe
K sang tujh pe gire  aur zaKhm aaye mujhe
Vo meraa dost hai saare jahaaN ko hai maaluum
DaGhaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe
Vo meherbaaN hai to iqraar kyuuN nahiiN kartaa
Vo badgumaaN hai to sau baar aazmaaye mujhe
Vohii to sab se zyaada hai nukta-chiiN meraa
Jo muskuraa ke hamesha [...]

Kya Ishq Tha Jo …

Posted by: Ghalib Ayaz on: August 12, 2009

Kya ishq tha jo baa’as e ruswaayi ban gaya
Yaaro tamaam shahr  tamaashaayi ban gaya
Bin mange mil gaye meri aankhoN ko rat jaggay
MaiN jab say aik chand ka shaidaayi ban gaya
Dekha jo uska dast-e-hinaaee qareeb se
Ehsas goonjti hooyi shahnaayi ban gaya
Barham huaa tha meri kisi baat par koyi
Woh haadsa hi wajh-e-shanasayi ban gaya
Karta raha jo roz [...]

Kab Talak Shama’ Jali …

Posted by: Ghalib Ayaz on: June 9, 2009

Kab talak shama’ jali, yaad naheeN
Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheeN

Is qadar yaad hai apne the sabhi
Kisne kya chaal chali, yaad naheeN

Hum zamane mein kuch aise bhatkay
Ab to unki bhi gali yaad naheen

Abr tha, jaam tha, per aap na thay
Woh ghaRi kaise tali yaad naheeN

Kat gayi umr kisi tarh’  “Qateel”
Woh buri thee k bhali yaad naheeN

Garmi-e-hasrat …

Posted by: Ghalib Ayaz on: March 30, 2009

Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain
Hum charagoN ki tarah shaam se jal jaate hain
Bach nikalate hain agar atih-e-sayyal se hum
Shola-e-atish-e-gulfaam se jal jaate hain
Khudnumaayi to nahin shewaa-e-arbaab-e-wafaa
jin ko jalnaa ho wo aaram se jal jaate hain
Shama’ jis aag mein jalti hai numaayish k liye
Ham usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
Jab bhi aata hai mera [...]

Raqs Karne Kaa Milaa …

Posted by: Ghalib Ayaz on: March 18, 2009

Raqs karne kaa  milaa hukm jo  dariyaaoN meN
Ham ne Khush hoke bhaNvar baaNdh liye paaoN meN
Un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talaash
Boond tak bo na sake jo kabhii saharaaoN meN
Ae mere ham-safaro tum  bhii thaake-haare ho
Dhuup ki tum to milaavaT na karo chaaoN meN
Jo bhi aataa hai bataataa hai nayaa koi ilaaj
Bat [...]

Meri Zindagi To Firaaq Hai…

Posted by: Ghalib Ayaz on: March 6, 2009

Meri Zindagi to firaaq hai, wo azal se dil main makeeN sahi
Wo nigaah-e-shauq se door hain,rag-e-jaaN se laakh qareeN sahi

Hamein jaan deni hai aik din, wo kisi tarah wo kaheeN sahi
HameN aap khainchiye daar par, jo nahiN koi to hameeN sahi

Sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, hamein intezaar qabool hai
Wo kabhi mileN,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kaheeN [...]