Urdu Ghazals by Ghalib Ayaz and Others, Modern Shairy

FarishtoN Se Bhi Achchha …

Posted by: Ghalib Ayaz on: November 9, 2009

FarishtoN se bhi achchha maiN bura hone se pahle tha

Vo mujh se intehaayii khush khafa hone se pahle tha

Haqiqat se khyaal achchha hai bedaari se khaab achchha

Tasavvur me vo kaisa saamnaa hone se pahle tha

Kisi bichhRe hue ka laut aanaa Ghair mumkin hai

Mujhe bhi yeh gumaaN ek tajrubaa hone se pahle tha

Agar maa’doom ko maujood kahne me ta’ammul hai

To jo kuchh bhi yahaaN hai aaj, kya hone se pahle tha

‘Sha’oor’  is se hameN kya, intehaa k baad kya hoga

Wohi hoga k jo kuchh ibtedaa hone se pahle tha

Zaalim Thaa Vo Aur Zulm …

Posted by: Ghalib Ayaz on: November 9, 2009

Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
Majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii


Us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
Go apnii tabiyat meN baGhaavat bhii bahut thii


Vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
Dil ke liye thoRii sii inaayat bhii bahut thii


YuN hii nahiiN mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
Us shaKhs ko is fan meN mahaarat bhii bahut thii


Kyaa daur-e-Ghazab thaa k lahuu dil meN bahut thaa
Aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii


Har shaam sunaate the hasiinoN ko Ghazal ham
Jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii


Bulavaa ke ham ‘Ajiz’ ko pashemaaN bhii bahut haiN
Kyaa kiijiye kam_baKht kii shohrat bhii bahut thii


Pat_thar Ke Khuda …

Posted by: Ghalib Ayaz on: November 9, 2009

Pat_thar ke Khuda vahaaN bhi paaye
Ham chaaNd se aaj lauT aaye

DivaareN to har taraf khaRi haiN
Kyaa ho gaye mehrabaan saaye

Jangal kii havaayeN aa rahii haiN
KaaGhaz kaa ye shehr uR na jaaye

Lailaa ne nayaa janam liyaa hai
Hai Qais koii jo dil lagaaye

Hai aaj zamiN kaa Ghusal-e-sahhat
Jis dil meN ho jitnaa Khuun laaye

Sehraa sehraa lahuu ke Kheme
Phir pyaase lab-e-furaat aaye

Chaman meN Rang-E-Bahaar …

Posted by: Ghalib Ayaz on: November 9, 2009

Chaman meN rang-e-bahaar utraa to maiN ne dekhaa
Nazar se dil kaa Ghubaar utraa to maiN ne dekhaa


MaiN niim shab aazamaa ke hasrat ko dekhataa thaa
Chaman meN vo husn zaar utraa to maiN ne dekhaa


Khumaar-e-mai thi vo chehraa kuchh aur lag raha tha
Dam-e-sahar jab Khumaar utraa to maiN ne dekhaa


Galii ke baahar tamaam manzil badal gaye the
Jo saayaa ek kuu-e-yaar utraa to maiN ne dekhaa


Ek aur dariyaa kaa saamnaa thaa ‘Munir’ mujh ko
MaiN ek dariyaa ke paar utraa to maiN ne dekhaa


Us ne haNs kar hameN …

Posted by: Ghalib Ayaz on: November 9, 2009

Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya
Ho gayaa phir se woh hamaaraa kya?


Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai
Aa raha hai wo maah paaraa kya?


Aarzoo, khaab, aas, mahroomii !!
Hausla phir bhi hum ne haaraa kya


Meri aankheN udaas rahti haiN
Ab na aaye ga wo dobaaraa kya?


AsmaaN par nazar nahi aataa
Khogaya hai mera sitaaraa kya


Dard  ki  saltanat pe baithaa hai
Koi  farma-N-rawaa dobaaraa kya


Ae dil e beqarar -  rahne de!!!
Shahr e taskeen me hamaaraa kya


Chaar aansu bahake sab chup hain
RayegaaN qatl hai hamaaraa kya


Shama’e Tanha ki tarah …

Posted by: Ghalib Ayaz on: November 9, 2009

Shama’e tanha ki tarah, subh k taare jaise
Shahr me ek hi do hoNge hamaare jaise


Chhoo gaya tha kabhi is jism ko ek sho’la e zard
Aaj tak khaak meN uRte hain sharaare jaise


Sakht jaaN hum sa koi tumne na dekah hoga
Humne qaatil kayi dekhe hain tumhaare jaise


Hausle deta hai ye abr e gureezaaN kya kya
Zindaa hoN dasht me hum iske sahaare jaise


Ab jo chamka tera khanjar to khyaal aata hai
Tujh ko dekha ho kahiN nahr kinaare jaise


Deednee hai mujhe seene se lagaanaa uska
Apne shaanoN se koi bojh utaare jaise


Uski aankheN hain k ek doobne waalaa insaan
Doosre doobne waale ko pukaare jaise

ChiraaGh Maangte Rahne Ka Kuchh Sabab Bhi NahiN …

Posted by: Ghalib Ayaz on: November 4, 2009

ChiraaGh maangte rahne ka kuch sabab bhi nahiN
Andhera kaise batayeN k ab to shab bhi nahiN


Main apne zo’m mein ek bazyaft par khush huN
Ye waqia hai ke mujh ko mila wo ab bhi nahiN


Jo mere shai’r meN mujh se zayada boltaa hai
Main os ki bazm meN ek harf zer-e-lab bhi nahiN


Aur ab to zindagi karne ke sau tareeqe haiN
Hum us ke hijr meN tanha rahe thay tab bhi nahiN


Kamal shakhs tha jis ne mujhe tabaah kiya
Khilaaf us ke ye dil ho saka hai ab bhi nahiN


Ye dastakeN ye meri zindagi ki aadhi raat
Hawaa ka shor samajh luN to kuch ajab bhi nahiN


Ye dukh nahiN K andheroN se sulh ki hum ne
Malaal ye hai ke ab subH ki talab bhi nahiN


Hisaab-e-dar-badari tujh se maang saktaa hai
Ghareeb-e-shahr magar itna be adab bhi nahiN


HameN bahut hai ye saadaat-e-ishq ki nisbat
Ke ye qabeela koii aisa kam nasab bhi nahiN

Koyi Ummeed Bar Nahi Aatii …

Posted by: Ghalib Ayaz on: October 30, 2009

Koyi ummeed bar naheeN aatii
Koyi soorat nazar naheeN aatee

Maut ka ek din mu’ayyan hai
NeeNd kyuN raat bhar naheeN aaatii?

Aage aatii thii haal-e-dil pe haNsi
Ab kisii baat par naheeN aatii

Jaanta hooN sawaab-e-taa’at-o-zohd
Par tabee’at idhar naheeN aatii

Hai kuchch aeisee hi baat jo chup huN
Warna kya baat kar naheeN aatii

KyoN na cheeKHooN K yaad karate haiN
Meree aawaaz gar naheeN aatii

DaaGH-e-dil gar nazar naheeN aata
Boo bhee ae chaaraagar ! naheeN aatii

Ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee
Kuchch hamaaree KHabar naheeN aatii

Marte haiN aarzoo meiN marne ki
Maut aatii hai par naheeN aatii

Kaa’baa’ kis muNh se jaaoge ‘GHalib’
Sharm tumko magar naheeN aatii

Besan ki Sondhii RoTii …

Posted by: Ghalib Ayaz on: October 27, 2009

Besan kii sondhii roTii pe khaTTii chaTni jaisii maaN
Yaad aatii hai chauka besan chimtaa phuknii jaisii maaN


Baan ki khurri khaaT ke uupar har aahat par kaan dhare
Aadhii soii aadhi jaagi thakii dopahrii jaisii maaN


chiRiyoN kii chahkaar se guunje Radha mohan Ali Ali
MurGhe kii aawaz se khulti, ghar ki kundi jaisii maaN


Biiwii, beti, bahan, paRosan thoRii thorii sii sab meN
Din bhar ek rassii ke uupar chaltii naTnii sii maaN


BaanT ke apnaa chehraa maatha aankheN jaane kahaaN gayii
Phate puraane ek album mein chanchal  laRkii jaisii maaN



Us Ko Judaa Hue Bhi …

Posted by: Ghalib Ayaz on: October 8, 2009

Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
Ab kyaa kaheN ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
Ae marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa

Ham Khuld se nikal to gaye haiN par ae Khudaa
Itne se vaaqa’ay kaa fasaanaa bahut huaa

Ab ham haiN aur saare zamaane kii dushmaanii
Us se zaraa sa rabt baRhaanaa bahut huaa

Ab kyoN na zindagii pe muhabbat ko vaar deN
Is aashiqii meN jaan se jaanaa bahut huaa

Ab tak to dil ka dil se ta’aaruf na ho sakaa
Maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa

Kya kya na ham Kharaab hue haiN magar ye dil
Ae yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

Kahtaa thaa naasehoN se mere muuNh na aa_iiyo
Phir kya thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

Lo phir tere laboN pe usii bevafaa kaa zikr
Ahmad ‘Faraz’ tujh se kahaa naa bahut huaa