Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte HaiN …


Suna hai log use aaNkh bhar ke dekhte haiN
So us k shahr me kuch din Thahar ke dekhte haiN


Suna hai rabt hai us ko kharaab haaloN se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte haiN


Suna hai dard ki gaahak hai chashm-E-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte haiN


Suna hai us ko bhi hai shair-O-shayeri se shaGhaf
So hum bhi mo’jeze apne hunar ke dekhte haiN


Suna hai bole to batoN se phool jhaRte haiN
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiN


Suna hai raat usay chaaNd takta rahta hai
Sitaaray baam-E-falak se utar ke dekhte haiN


Suna hai din ko use titliyaaN sataati haiN
Suna hai raat ko jugnoo Thahar ke dekhte haiN


Suna hai hashr haiN us ki ghazaal si ankheN
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiN


Suna hai raat se baRh kar haiN kaakulaiN us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte haiN


Suna hai us ki siyah chashmagi qayaamat hai
So us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiN


Suna hai us ke laboN se gulaab jalte haiN
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte haiN


suna hai aaeenaa tamsaal hai jabeeN us ki
Jo saada dil haiN ussay ban saNwar ke dekhte haiN


Suna hai jab se hamaayal haiN us ki gardan meN
Mizaaj aur hi laa’l-O-guhar ke dekhte haiN


Suna hai chashm-E-tassavur se dasht-E-imkaaN meN
Palang zaawiye us ki kamar ke dekhte haiN


Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
K phool apni qabaayeN katar ke dekhte haiN


Bas ek nigaah se luT_ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-E-tamanna bhi dar ke dekhte haiN


Suna hai us ke shabistaaN se muttasil hai bahisht
MakeeN udhar ke bhi jalway idhar ke ke dekhte haiN


Rukay to gardishaiN us ka tawaaf karti haiN
Chalay to us ko zamaanay Thahar ke dekhte haiN


MubaleGhe hi sahi, sab kahaaniyaaN hi sahi
Agar wo khaab hai, taa’beer karke dekhte haiN


Ab us k shahr me ThahreN k kooch kar jaayeN
‘FARAZ’ aao, sitaare safar ke dekhte haiN


22 thoughts on “Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte HaiN …

  1. WonderFul . . . Realy Superb . “Suna hai din ko Titliyan Satati hain .. .
    Suna hai Raat ko jugnu Thehar k dkhty hain ”
    nice click by GhaLib . . .

Leave a reply to Malik waqas,mansoor malik Cancel reply