Ta’zeer-E-Ehtimaam-E-Chaman Kaun De Gaya …Ta’zeer-E-ehtimaam-E-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya


Daikhay jo khadd-O-khaal to socha hai baarhaa
Sehra ki chaaNdni ko badan kaun day gaya


Meri jabeeN ki saari lakeeraiN teri ataa
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya


Teray hunar mai khilwat-E-khushboo sahi magar
KaantoN ko umr bhar ki chubhan kaun day gaya


Jungal say poochti haiN hawaaoN ki barhami
Jugnoo ko tairgi mai kiran kaun day gaya


Kis ne basaaye aaNkh mai ashkoN kay qaaflay
Be-ghar musaafiroN ko watan kaun day gaya


Tujh say to khair pal ki musaafat ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya


ToRa hai kis nay nok-E-sinaaN par sakoot-E-sabr
Lab bastagi ko taab-E-sukhan kaun day gaya


‘Mohsin’ wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh fun kaun day gayaAdvertisements

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Google+ photo

You are commenting using your Google+ account. Log Out / Change )

Connecting to %s