Us Raah Pe Jaane Se Pahle Asbaab …



Us raah pe jaane se pahle asbaab sanbhaal ke rakh lena
Kuchh ashk firaaq se le lena kuchh phool visaal ke rakh lena

Ek umr ki mahroomi apne seene meN chhupaana mushkil hai
Jab hadd E wazaahahat aajaaye, yeh teer nikaal ke rakh lena

Ek hairat dil meN jhaNkegi, aaNkhoN meN sitaare TaaNkegi
Jo aaNsoo tum par bhaari hoN daaman me uchhaal ke rakh lena

Ek aisi chup  taari  karnaa jaise  goyaayi se ‘aari ho
Khaamoshi ke gahwaare me aawaazeN paal ke rakh lena

Chehre se khushi saabit karna jaise har dukh se ghaafil ho
HaaN baab E takhatub aaye to alfaaz malaal ke rakh lena

Woh shaam bahut jald aayegi jo tum ko tum se milaayegi
Us shaam tum apni aahoN se kuchh naGhme dhaal ke rakh lena

Is kaar E jahaaN ki wahshat par jab koi dastaawez likho
Sab se aakhir meN kuchh safhe apne ahwaal ke rakh lena

Taa’eed ke sannate se uTho, tardeed ke shor meN aajaao
Ek talkh jawaab se behtar hai ilzaam sawaal ke rakh lena

Ye khaboN, zakhmoN, daaGhoN ki tarteeb munasib hai lekin
Is zaad E safar meN ‘Azm’ kahiN kuchh sadme haal ke rakh lena

One thought on “Us Raah Pe Jaane Se Pahle Asbaab …

Leave a reply to Shashi Arya Cancel reply