Zara Si Der Ko Aaye The Khaab Aankhon Mein …


 

Zara si der ko aaye the khaab aaNkhoN mein
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mein

Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
KhaTak raha hai wohi aaftaab aaNkhoN mein

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mein

Ajab tarah ka  hai mausam  K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mein

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mein

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mein

4 thoughts on “Zara Si Der Ko Aaye The Khaab Aankhon Mein …

  1. sabhi haiñ äj tou manzar k’haräb äñkhoñ mèñ!
    kabhi sajè thè suhänè hi k’hwäb äñkhoñ mèñ!
    bharè haiñ inn dinoñ, k’häli suräb äñkhoñ mèñ!
    “ajïb badlä yè mausam k k’häk ur’tï hai
    wo din bhi kyä thè, khilè thè guläb äñkhoñ mèñ!!” (mks)
    07jun13
    ~ jeem alif parvèz / g’hälib ayäz.

Leave a comment