Shahr Sunsaan Hai Kidhar Jayein

شہر سنسان ہے کدھر جائیں
    خاک ہو کر کہیں بکھر جائیں

    رات کتنی گزر گئی لیکن
    اتنی ہمت نہیں کہ گھر جائیں

    یوں ترے دھیان سے لرزتا ہوں
    جیسے پتے ہوا سے ڈر جائیں

    اُن اجالوں کی دھن میں‌پھرتا ہوں
    چھب دکھاتے ہی جو گزر جائیں

    رین اندھیری ہے اور کنارہ دور
    چاند نکلے تو پار اتر جائیں​

Shahr sunsaan hai  kidhar jayeiN

Khaak ho kar kahiN bikhar jaayeiN

Raat kitni guzar gayii, lekin

Itni himmat nahi K ghar jaayeiN

YuN tere dhyaan se laraztaa hun

Jaise pat_te hawa se dar jaayeiN

Un ujaaloN ki dhun mein phirta hun

Chhab dikhaate hi jo guzar jaayeiN

Rain aNdheri hai aur kinaara door

ChaNd nikle to paar utar jaayeiN

(Nasir Kazmi)

Zindagi Bhar Wafa Hamin Se Hui …

Zindagi bhar wafaa hamiN se huii
Sach hai yaro khataa hamiN se huii

Dil ne har daagh ko rakha mehfooz
Ye zameeN khushnuma hamiN se huii

Ham se pehle zameen E shehr E wafa
Khaak thi, keemiyaa hamiN se huii

Kaun uThata shab E firaaq ke naaz
Yeh bala aashnaa hamiN se huii

Be-gharaz kaun dil gaNwaata hai
Teri Qeemat adaa hamiN se huii

Sitam E naarawa tujhi se hua
Tere haq mein dua hamiN se huii

Sa’yi – tajdeed E dosti ‘Nasir’
Aaj kya, baarha hamiN se huii

(Nasir Kazmi)

O Mere Masroof Khuda …

O mere masroof khuda
Apni duniya dekh zara

Itni khilqat  ke hote
ShahroN meN hai sannata

JhoNpRi waloN ki taqdeer
Bujha bujha sa aek diya

Khaak uRate haiN din raat
MeeloN phail gaye sehra

ZaaG O zaghaN ki gunjoN se
Suna jangale GuNj uTha

Suraj sar pe aa pahuNcha
Garmi hai ya roz E jaza

Peyasi dharti jalti hai
Sukh gaye bahte dariya

FaslaiN jal kar raakh huiN
Nagri nagri kaal paRa!!

O mere masroof khuda
Apni duniya dekh zara

Kab Tak Baithe Hath MaleN …

Kab tak baithe hath maleN

Chal sathi kahiN aur chaleN

Ab kis ghaaT pe baNdheN nao

Ab yeh toofaN kaise TaleN

Ab Ye mangeN kaun bhare

Ab ye paude kaise phaleN

Jug jug jiyeN mere saathi

Jalne waale aur jaleN

Tujhko chain mile ‘Nasir’

Tere dukh geetoN men dhaleN

Jurm E Inkaar Ki Sazaa Hi De …

جرم  انکار   کی   سزا   ہی   دے
       میرے حق میں بھی کچھ سنا ہی دے
 
شوق  میں   ہم   نہیں   زیادہ  طلب 
      جو    ترا    ناز   کم     نگاہی      دے
 
تو نے تاروں سے شب کی مانگ بھری
        مجھ  کو  اک  اشک  صبح  گاہی  دے 
 
تو نے بنجر زمیں کو  پھول  دیے
       مجھ  کو اک  زخم  دل  کشا  ہی  دے
 
بستیوں کو دیے ہیں تو نے چراغ
       دشت دل  کو  بھی  کوئی  راہی  دے
 
عمر بھر  کی  نوا گری  کا  صلہ 
       اے   خدا   کوئی   ہم نوا   ہی   دے
 
زرد رو  ہیں  ورق  خیالوں  کے 
       اے   شب  ہجر   کچھ   سیاہی   دے
 
گر   مجال   سخن   نہیں    ناصر 
          لب    خاموش   سے    گواہی    دے
*************

Jurm E inkaar ki sazaa hi de
Mere haq meN bhi kuch sunaa hi de

Ishq meN ham nahiN zyaadaa-talab
Jo teraa naaz E kam-nigaahi de

Tu ne taaroN se shab ki maaNg bhari
Mujh ko ek ashk subh-gaahi de

Tu ne banjar zamiN ko phuul diye
Mujh ko ek zakhm dil-kushaa hi de

BastiyoN ko diye haiN tu ne chiraaG
Dasht E dil ko bhii koii raahi de

Umr bhar ki navaa-gari kaa silaa
Ae Khudaa! koii ham-navaa hi de

Zard-roo hain waraq KhyaaloN ke
Ae shab E hijr, kuch siyaahii de

Gar majaal E sukhan nahiN ‘Nasir’
Lab E khaamosh se gavaahi de


Kuchh Yadgar E Shahr E Sitamgar Hi Le Chalen …

 

Kuchh yadgar-E-shahr-E-sitamgar hi le chalen
Aaye haiN is gali meN to pat_thar hi le chalen

YuN kis tarah katega kaRi dhup ka safar
Sar par khayal-e-yar ki chaadar hi le chalen

Ranj-E-safar ki koi nishaani to paas ho
Thori si khak-E-kucha-E-dilbar hi le chalen

Ye kah k chheRti hai hamaiN dilgiraftagi
Ghabraa gaye haiN ap to bahar hi le chalen

Is shahr-E-be-chiraaGh meN jaayegi tu kahaN
Aa ai shab-E-firaaq tujhe ghar hi le chalen

 

Kisi Ka Dard Ho Dil Be Qaraar Apna Hai …


Kisi ka dard ho  dil be-Qaraar apna hai
Hava kahiN ki ho siinaa figaar apna hai


Ho koi fasl magar zakhm khil hi jate haiN
Sadaa bahaar dil E daGhdaar apna hai


Jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote haiN
Hazaar shukr gham E paaidaar apna hai


Na tang kar dil E mehzuN ko ae gham E duniya
Khudai bhar meN yehi Gham gusaar apna hai


Wo koi apne siwaa ho to us ka shikwa karuN
Judaayii apni hai, aur intezaar apna hai


Naaz E Begaangi MeN Kya Kuchh Tha …


Naaz E begaangi meN kya kuchh tha
Husn ki saadgi meN kya kuchh tha


Laakh raahaiN thiN laakh jalwe the
Ahd E aawaargi meN kya kuchh tha


AaNkh khulte hi chhup gayi har shai
Aalam E be-khudi meN kya kuchh tha


Yaad haiN marhalay muhabbat  ke
Haye us be-kali meN kya kuchh tha


Kitne beete dinoN ki yaad aayee
Aaj teri kami meN kya kuchh tha


Kitne manoos log yaad aaye
Subh ki chaNdni meN kya kuchh tha


Raat bhar ham na so sake ‘Nasir’
Parda E khaamushi meN kya kuchh tha

{ from :  Barg E Nai }

Tere Milne Ko Bekal Ho Gaye HaiN …


Tere milne ko bekal ho gaye haiN
Magar yeh log pagal ho gaye haiN


BahaareN le ke aaye the jahaaNn tum
Woh ghar sunsaan jangal ho gaye haiN


Yahan tak baRh gaye aalaam E hasti
K dil ke houslay shal ho gaye hai N


Kahaan tak taab laaye naatawaaN dil
K sadme ab musalsal ho gaye haiN


Nigaah E yaas ko neeNd aarahi hai
Mizaa par ashk bojhal ho gaye haiN


InhaiN sadiyoN na bhoolega zamana
YahaN jo hadsay kal ho gaye haiN


JinhaiN hum dekh kar jite the ‘Nasir’
Wo log aaNkhoN se ojhal ho gaye haiN

(Burg E Nai se makhooz)

Be Minnat E Khizr E Raah Rahna …

Be minnat E Khizr E raah rahnaa
Manzuur hameN tabaah rahnaa


YaaroN ko nasiib sar-faraazii
Mujhko terii gard E raah rahnaa


Dil aik ajiib ghar hai pyaare
Is ghar meN bhi gaah gaah rahnaa


Gar yuNhi rahii diloN ki ranjish
Mushkil hai baham nibaah rahnaa


Bhar aayegii aaNkh bhii kisii din
Khaalii nahiiN sirf aah rahnaa


Main haath nahi use lagaya
Ae begunahi gawaah rahna


‘Nasir’ ye vafaa nahiN junuN hai
Apna bhi na Khair Khaah rahnaa