Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna …


Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
MaiN Phir AauuNga Palat Kar Mera Intezaar Karna


Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na JhalkeN
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna


Usay Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila NahiN Hai Tujh Ko
Yeh Sitaaray AasmaaN Kay Kabhi Phir Shumaar Karna


Mere Shahr Ki Fiza MeN Koi Zahr Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khushgawaar Karna


MaiN UthauuNgaa Na EhsaaN Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ne Hi Duboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna


Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaanaa, Na Kisi Sey Pyaar Karna


Kabhi Iqtidaar BaKhshay Jo Khuda ‘Qateel’ Tujh Ko
Jo Rawish Hai QatiloN Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna

One thought on “Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna …

Leave a comment