Ek Pari Ru Ko MuNh Zabaani HuiN …

 

Ek pari-ru ko muNh zabaani huiN
Meri GhazleN to ghair faani huiN

Jin ke hone se khush bayaaN the hum
DaastaaneN woh sab puraani huiN

Din dhala, thak ke hum bhi laut gaye
Dukh ki parchhaiyaaN syaani huiN

Ab muqaffal naye makaan meN haiN
Saari cheezeN jo khaandaaneN huiN

Sharm, shokhi, rijhaao, bhola pan
RangateN us ki pur ma’aani huiN

Sach hai, Ghaafil mizaaj thi duniya
AafateN bhi to naagihaani huiN

 

NamazeN Parhna Aadat Ho Gayi Hai …

 

NamazeN paRhna aadat ho gayii hai
Bahut sastii  ibaadat  ho gayii hai

Use aane meN kya majburi hogi
HamiN se koyi ghaflat ho gayii hai

Lahoo maeN ab vo sachchayii kahan hai
K woh surf E shahaadat ho gayii hai

Arab ki sar zameeN pakeeza kab thi
Muhammad ki badaulat ho gayii hai

Khuda ko jab se pahchana hai  ‘Alavi’
HamaiN sab se muhabbat ho gayii hai

 

(By: Muhammad Alvi)