Safar E Manzil E Shab Yaad NahiN …


Safar E manzil E shab yaad nahiN
Log rukhsat hue kab yaad nahiN


Dil meN har waqt chubhan rahti thi
Thi mujhe kis ki talab yaad nahiN


Wo sitaara thi K shabnam thi K phul
Ek soorat thi ajab yaad nahiN


Aisa uljha huN gam E duniya meN
Ek bhi khaab E tarab yaad nahiN


Bhoolte jaate haiN maazi ke dayaar
Yaad aayeN bhi to sab yaad nahiN


Ye haqeeqat hai K ahbaab ko hum
Yaad hi kab thhay jo ab yaad nahiN


Yaad hai sair E charaaGhaaN ‘Nasir’
Dil ke bujhne ka sabab yaad nahiN


Tujhe Hai Mashq E Sitam Ka Malaal Waise Hi …


Tujhe hai Mashq E Sitam ka Malaal waise hi
Humaari Jaan hai, JaaN par wabaal waise hi


Chala Tha Zikr Zmaane ki Bewafaayi ka
So aa gaya hai tumhara Khayal waise hi


Hum aa gaye haiN Tah E Daam to Nasib apna
Wagarna usne to phenka tha Jaal waise hi


MaiN rokna hi nahin chahta tha Waar uska
Giri nahin Mere Haathon se Dhaal waise hi


Zamaana humse bhala Dushmani to kya rakhta
So kar gaya hai humaiN Paayemaal waise hi


Mujhe bhi ShouQ na tha DaastaaN sunane ka
‘Faraz’ usne bhi poocha tha Haal waise hi


Dekha Hua Sa Kuchh Hai To Sochaa Hua Sa Kuchh …


Dekhaa hua sa kuchh hai to sochaa hua sa kuchh


Har waqt mere saath hai uljhaa hua sa kuchh


Hotaa hai yuuN bhii raastaa khultaa nahiN kahiN


Jangal sa phail jaataa hai khoyaa hua sa kuchh


Saahil kii geelii ret pe bachchoN ke khel saa


Har lamhaa mujh meN bantaa bikhartaa hua sa kuchh


Fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah


Har shay se muskuraataa hai rotaa hua sa kuchh


DhuNdhlii sii ek yaad,  kisii qabr kaa diyaa


Aur mere aas paas chamkataa hua sa kuchh


Hum To YuN Khush The K Ek Taar Grebaan MeN Hai …


Hum to yuN khush the k ek taar grebaan meN hai


Kya khabar thi k bahaar iske bhi armaan meN hai


Ek zarb aur bhi ae zindagi e teeshaa ba dast


SaaNs lene ki sakat, ab bhi meri jaan meN hai


Main tujhe kho ke bhi zinda huN ye dekha tu ne


Kis Qadar hausla haare hue insaan meN hai


Faasle Qurb k sho’loN ko hawaa dete haiN


MaiN tere shahr se door aur tu mere dhyaan meN hai


Sar E deewaar frozaaN hai abhi ek chiraaGh


Ae naseem E sehari, kuchh tere imkaan meN hai


Dil dhaRakne ki sadaa aati hai hai gaaahe gaahe


Jaise ab bhi teri aawaaz mere kaan meN hai



Hum HaiN Mataa E Koochaa E Baazaar Ki Tarah …


Hum haiN mataa-E-koochaa-E-baazaar ki tarah
UThtii hai har nigaah khareedaar ki tarah


Is koo-E-tishnagi maiN buhat hai k aik jaam
Haath aa gaya hai daulat-E-bedaar ki tarah


Wo to  kahiN haiN aur magar dil k aas paas
Phirti hai koi shay  nigah-E-yaar ki tarah


Seedhi hai raah-E-shauq pe yuN hi kabhi kabhi
Kham ho gayi hai gesoo-E-dildaar ki tarah


Ab ja k kuch khulaa hunar-E-naakhun-E-junuN
Zakhm-E-jigar hue lab-O-rukhsaar ki tarah


‘Majruh’ likh rahe haiN wo ahal-E-wafaa ka naam
Hum bhi khaRe hue haiN gunahagaar ki tarah

[ Majruh Sultanpuri ]

Apni Dhun MeN Rahta HuN …


Apni dhun meN rahtaa huN
MaiN bhii  tere  jaisaa huN

O  pichhlii  rut ke  saathii
Abke baras maiN tanhaa huN

Terii galii meN saaraa din
Dukh ke kankar chuntaa huN

Mujh se aaNkh milaaye kaun
MaiN teraa aaeenaa huN

Meraa diyaa jalaaye kaun
MaiN tera Khaalii kamraa huN

Tuu jiivan kii bharii galii
MaiN jangal ka rastaa huN

Apni lahr hai,   apnaa rog
Dariyaa huN aur pyaasaa huN

Aatii rut mujhe royegii
Jaati rut ka jhoNkaa huN