Gham Ka Vo Zor Ab Mere Andar Nahi Raha

Gham kaa vo zor ab mere andar nahi rahaa
Is umr meiN, maiN itana samar_var nahi rahaa

Is ghar meiN jo kashish thi gayi un dinoN ke sath
Is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahi rahaa

Vo husn-E-naubahaar, abad shauq jism sun
Rahna tha us ko saath mere, par nahi rahaa

Mujh meiN hi kuchh kami thi K behtar maiN un se tha
MaiN shahar meiN kisii ke baraabar nahi rahaa

Rahbar ko un ke haal ki ho kis tarah Khabar
LogoN ke daramiyaan vo aakar nahi rahaa

Waapas na jaa vahaaN K tere shahar meiN ‘Munir’
jo jis jagah pe tha vo vahaaN par nahi rahaa

(By : Munir Neyazi)

Sab Qareene Usi Dildaar Ke Rakh Dete Hain

Sab qareenay, usi dildaar ke, rakh dete haiN

Hum ghazal men bhi hunar yaar ke rakh dete haiN

Shayad ajayeN kabhi chashm e khariidar men hum

Jan O dil biich mein bazaar ke rakh dete haiN

Zikr e janaN mein yeh duniya ko kahaN le aaye

Log kyuN mas’alay bekaar ke rakh dete haiN

Zindagii teri amaanat hai magar kya kijiye

Log yeh bojh bhi thak haar ke rakh dete haiN

Hum to chahat men bhi ghalib ke muqallid hain ‘Faraz’
Jis pe marte haiN use maar ke rakh dete haiN

(Ahmad Faraz)

De Uthi Lau Jo Tere Sath Guzaari Hui Sham …

De uThi lau jo tere saath guzaari hui shaam
Hujra e jaaN ki har ik cheez pe taari hui shaam

Umr bhar dhoop lapete rahe apne tan se
Ham se pahni na gayi uski utaari hui shaam

Pahle to mujhse meri zaat ka matlab poochha
Aur phir apne hi ehsaas se ‘aari hui shaam

Ae junooN pooch isi lamha e maujood se poochh
Lams ye kiska uThaaya hai K bhaari hui shaam

Do hi kirdar numaayaaN hain kahaani meiN meri
BekaraaN dasht hua maiN to shikaari hui shaam

Is taraf dasht e badan meiN koi sooraj dooba
Us taraf seena e aflaak se jaari hui shaam

MaiN naseiN kaat ke sooraj meiN utar hi jaata
Par khayaal aaya tera hijr ki maari hui shaam

Kya faqat hamse sawaalaat kiye jaayenge??
Kya faqat hamse mukhatib hai ye haari hui shaam?

Ham ne har shai meiN utarte hue dekha khud ko
Yaad aayi jo tere qurb pe waari hui shaam

By: Abhishek Shukla

Kaleja Thaam Lo Roodad E Gham Ham Ko Sunane Do …

Kaleja thaam lo roodad E gham ham ko sunaane do
Tumhein duk_kha hua dil ham dikhate hain dikhane do

Usi ke dam se thoRi raushni hai khaana E dil meiN
Bujhaate kyuN ho sham- E aarzoo ko jhilmilane do

Usi se tum kisii kii zulf ki roodaad sun lena
Udhar dekho wo deewaana chala aata hai aane do

Suna hai ishq ka me’raaj pinhaN hai shahadat me
Chhuri laao mujhe bhi apni qismat aazmaane do

Na dagh aayega apne daman E husn E tabiy’at per
Wafaa per mere jo tohmat lagate hain lagane do

Zamana sabr kar leta hai ‘Ajiz’ ham bhi kar leNge
Khalish dil ki miTa lene ke do aaNsoo bahane do

(Kalim Ajiz)