Jurm E Inkaar Ki Sazaa Hi De …

جرم  انکار   کی   سزا   ہی   دے
       میرے حق میں بھی کچھ سنا ہی دے
 
شوق  میں   ہم   نہیں   زیادہ  طلب 
      جو    ترا    ناز   کم     نگاہی      دے
 
تو نے تاروں سے شب کی مانگ بھری
        مجھ  کو  اک  اشک  صبح  گاہی  دے 
 
تو نے بنجر زمیں کو  پھول  دیے
       مجھ  کو اک  زخم  دل  کشا  ہی  دے
 
بستیوں کو دیے ہیں تو نے چراغ
       دشت دل  کو  بھی  کوئی  راہی  دے
 
عمر بھر  کی  نوا گری  کا  صلہ 
       اے   خدا   کوئی   ہم نوا   ہی   دے
 
زرد رو  ہیں  ورق  خیالوں  کے 
       اے   شب  ہجر   کچھ   سیاہی   دے
 
گر   مجال   سخن   نہیں    ناصر 
          لب    خاموش   سے    گواہی    دے
*************

Jurm E inkaar ki sazaa hi de
Mere haq meN bhi kuch sunaa hi de

Ishq meN ham nahiN zyaadaa-talab
Jo teraa naaz E kam-nigaahi de

Tu ne taaroN se shab ki maaNg bhari
Mujh ko ek ashk subh-gaahi de

Tu ne banjar zamiN ko phuul diye
Mujh ko ek zakhm dil-kushaa hi de

BastiyoN ko diye haiN tu ne chiraaG
Dasht E dil ko bhii koii raahi de

Umr bhar ki navaa-gari kaa silaa
Ae Khudaa! koii ham-navaa hi de

Zard-roo hain waraq KhyaaloN ke
Ae shab E hijr, kuch siyaahii de

Gar majaal E sukhan nahiN ‘Nasir’
Lab E khaamosh se gavaahi de


Be Qaraari Si Be Qaraari Hai …

 

Be-qaraari si be-qaraari hai
Wasl hai aur firaaq taari hai

Jo guzaari na ja saki hum se
Hum ne woh zindagi guzaari hai

Us se kahiyo K dil ki galioN meN
Raat din teri intezaari hai

Ik mehak samt-E-jaaN se aayi thi
MaiN yeh samjha teri sawaari hai

Haad-soN ka hisab hai apna
Warna har aan sab ki baari hai

Bin tumhare kabhi nahiN aayi
Kya meri neeNd bhi tumhari hai

Nig-habaaN kya hue K logoN par
apna saaya bhi ab to bhaari hai

Khush rahe tu ke zindagi apni
Umr bhar ki ummeed waari hai

Aap meN kaisay aauN maiN tujh bin
SaaNs jo chal rahi hai aari hai

Hijr ho ya wisal ho kuchh ho
Hum haiN aur us ki yaadgaari hai

 

Tere Siwa Bhi Mujhe Koyi Yad Aane Waalaa Tha …

 

Tere siwa bhi mujhe koyii yad aane waalaa tha
MaiN warna yuN hijr se kab ghabraane waalaa tha

Jaan boojh kar, soch samajh kar maiN ne bhula diya
Har woh Qissaa jo dil ko bahlaane waalaa tha

Mujhko nadamat bas is per hai log bahut khush haiN
Is lamha ko kho kar maiN pachtaane waalaa tha

Yeh to khair huyii dariya ne rukh tabdeel kiya
Mera shahr bhi us ki zad meN aane waalaa tha

Ek ek kar ke sab rastay kitne sunsan huye
Yad aaya maiN lambe safar per jaane waalaa tha

(Prof. Shahr Yar)

Kuchh Yadgar E Shahr E Sitamgar Hi Le Chalen …

 

Kuchh yadgar-E-shahr-E-sitamgar hi le chalen
Aaye haiN is gali meN to pat_thar hi le chalen

YuN kis tarah katega kaRi dhup ka safar
Sar par khayal-e-yar ki chaadar hi le chalen

Ranj-E-safar ki koi nishaani to paas ho
Thori si khak-E-kucha-E-dilbar hi le chalen

Ye kah k chheRti hai hamaiN dilgiraftagi
Ghabraa gaye haiN ap to bahar hi le chalen

Is shahr-E-be-chiraaGh meN jaayegi tu kahaN
Aa ai shab-E-firaaq tujhe ghar hi le chalen

 

Kahin Goyaayi Ke HaathoN Samaa’at Ro Rahi Hai …

(Aaj yani 4 March 2011, ko Azm Bahzad sahab hamare beech se rukhsat hogaye. Unki yeh ghazal unko khiraj e aqeedat ke taur par. Khuda unhen jannat me uncha maqaam ata kare)

KahiN goyaayi ke haathoN samaa’at ro rahi hai
KahiN lab bastaa rah jaane ki hasrat ro rahi hai

Kisi deewaar par nakhun ne lik_kha hai rihaayi
Kisi ghar meN aseeri ki aziyyat ro rahi hai

KahiN member pe baiTha hai ek sajde ka nashsha
Kisi mehraab ke neeche ibaadat ro rahi hai

Yeh maathe par paseene ki jo larzish tumne dekhi
Yeh ek chehre pe laa-haasil mushaqqat ro rahi hai

Ajab mahfil hai sab ek dusre pe haNs rahe haiN
Ajab tanhaayi hai khilwat ki khilwat ro rahi hai

Yeh khamoshi nahi, sab iltejaayeN thak chuki haiN
Yeh aaNkheN tar nahi, rone ki himmat ro rahi hai

Jo ba’ad az hijr aaya, us ko kaise wasl kah duN?
Shikaayat se gale mil ke nidaamat ro rahi hai

Ise ghussa na samjho! ‘Azm’ yeh mere lahoo me
Musalsal zabt karne ki riwaayat ro rahi hai