Woh Teraa Naam Tha …


 

Jis ki jhankaar meN dil ka aaraam tha, woh teraa naam tha
Mere hoNtoN pe raqsaaN jo ek naam tha, woh teraa naam tha

Mujh se mansoob thiN daastaanaiN kayi, Ek se ek nayee
Khubsurat magar jo ek ilzaam tha, woh teraa naam tha

Kaise karta kisi aur ki guftaguu, yaad tha sirf tu
Mujh ko mere junuN ka jo in’aam tha, woh teraa naam tha

Subh se shaam tak jo mere paas thi, woh teri aas thi
Shaam tak jo kuchh lab E baam, woh teraa naam tha

Dost jitne the naa aashnaa ban gaye, paarsaa ban gaye
Jo mere saath ruswa sar E aam tha, woh teraa naam tha

Gham ne taarikiyoN me uchhaalaa mujhe, maar daalaa mujhe
Ek nayi chaaNdni ka jo paigham tha, woh teraa naam tha

Tere hi dam se hai yeh ‘Qateel’ aaj bhi, shairy ka wali
Us ki GhazloN meN kal bhi jo ilhaam tha, woh teraa naam tha

3 thoughts on “Woh Teraa Naam Tha …

  1. badi khub us shayar ne shayari ki hai…
    badi hi dilkash gazal humare nazar ki hai….
    shukriya karne ko b chahein to kaise karein..
    naam humara to rakha…par khud ko gumnaami di hai….

Leave a comment