Ab Mehfil E Ghazal Mein Ghazal Aashna Hai Kaun?

Renown Urdu poet Dr. Kalim Ajiz passed away yesterday. It is a tribute to him from all poetry lovers.

اب محفلِ غزل میں غزل آشنا ہے کون؟
مانا کہ ایک ہم ہیں، مگر دُوسرا ہے کون؟
قاتل نے جب پُکارا کہ اہلِ وفا ہے کون؟
سب لوگ جب خموش رہے، بول اُٹھا ہے کون؟
تُم اپنی انجُمن کا ذرا جائزہ تو لو
کہنے کو تو چراغ بہت تھے، جلا ہے کون؟
دعویٰ سُخن کا سب کو ہے لیکن تمام عُمر
اک دشمنِ سخن سے مُخاطب رہا ہے کون؟
سب دیکھتے جدھر ہیں اُدھر کیا ہے؟ کچھ نہیں!
ہم دیکھتے جِدھر ہیں اُدھر دیکھتا ہے کون؟
تصویرِ میکدہ میری غزلوں میں دیکھئیے
سنبھلا رہا ہے کون، نشے میں گِرا ہے کون؟
مَیں ایک نقشِ پا ہُوں مگر مَیں بتاؤنگا
اِس راہ سے جو گزرا ہے وہ قافلہ ہے کون!
سب دوست ایک ایک کرکے مُجھے چھوڑتے گئے
دُشمن بھی دنگ ہے کہ یہ تنہا کھڑا ہے کون
گھر بھی ترا، گلی بھی تری، شہر بھی ترا
جو چاہے جِس کو کہہ دے، تُجھے روکتا ہے کون؟
عاجؔز یہ کِس سے بات کرو ہو غزل میں تُم؟
پردہ اُٹھاؤ ہم بھی تو دیکھیں چُھپا ہے کون؟

~~~~~~~***~~~~~~~

Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?

Maanaa K aek hum hain magar dusraa hai kaun?

Qaatil ne jab pukaara K ahl e wafaa hai kaun?

Sab log jab khamosh rahe bol uTha hai kaun?

Tum apni anjuman ka zaraa jaayezaaH to lo

Kahne ko to chiraagh bahut the, jala hai kaun?

Daa’va sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr

Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?

Sab dekhte jidhar hain udha kya hai kuchh nahi

Hum dekhte jidhar hain udhar dekhta hai kuan?

Tasveer e maikada meri ghazloN mein dekhiye

Sanbhla raha hai kaun, nashe mein gira hai kaun?

Main ek naqsh e paa hun magar main bataunga

Is raah se jo guzra hai woh qaafila hai kaun?

Sab dost aek ek kar ke mujhe chhoRte gaye

Dushman bhi dang hai k ye tanha khaRa hai kaun?

Ghar bhi tera, gali bhi teri, shahr bhi tera

Jo chahe jis ko kah de tujhe rokta hai kaun?

‘Aajiz’ ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?

Parda uThao, hum bhi to dekhien chhupa hai kaun?

(Kalim Ajiz)

Wafa Kar Magar Ustawaari Na Rakh

Wafa kar! magar ustawaari na rakh

Koii bojh seene pe bhaari na rakh

Mohabbat ke badle muhabbat na maang

K yeh silsilaa, karobaari na rakh

Kisii aur heelay se kar mustafeez

FaQat rasm-e-bada-gusaari na rakh

Tu aaya hai to harf-e-matlab pe aa

ZabaaN per bahut khaksaari na rakh

Salamat nahii sar  to dastaar kya

Bahut apni ooNchi ataari na rakh

HaqeeQat tujhe maar dalegi sun!!

‘Mujeebi’ bahut jaan kaari na rakh

[Siddique Mujeebi]

Inkaar Mein Iqraar Ki Baat Aa Hi Gayi Hai

Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi gayi hai
BatoN meiN Gham-e-yar ki baat aa hi gayi hai

Aaya hai kabhi zikr agar dar-o-rasan ka
Gesoo-o-qad-e-yar ki baat aa hi gayi hai

Jab surKhi-e-gulshan ka kabhi zikr hua hai
Tere lab-o-ruKhsaar ki baat aa hi gayi hai

DhooNda hai agar zaKhm-e-tamana ne mudaawa
Ek nargis-e-bimaar ki baat aa hi gayi hai

Mil baiThe haiN zandaaN meiN agar sham ko ahbab
Tere dar-o-deewaar ki baat aa hi gayi hai

ChaiRa hai koi talKh fasaana jo kisi ne
Shirini-e-guftaar ki baat aa hi gayi hai

(Mazhar Imam)

Yeh Aansu Be Sabab Jaari Nahi Hai

 

Ye aaNsu be-sabab jaari nahi hai

Mujhe rone ki beemaari nahi hai

Na puchho zakhm-hae-dil ka aalam

Chaman mein aisi gulkari nahi hai

Bahut dushwar samjhana hai Gham ka

Samajh lene mein dushwari nahi hai

Ghazal hi gungunaane do K mujh ko

Mizaaj -e- talkh guftaari nahi hai

Chaman me kyuN chaluN kantoN se bachkar

Yeh aayeen -e- wafaadaari nahi hai

Woh aayein Qatl ko jis roz chaheiN

YahaN kis roz taiyyari nahi hai

(Dr. Kalim Ajiz)

Yeh Samundar Hai, Kinare Hi Kinare Jaao

Yeh samundar hai!  kinaare hi kinaare jaao

Ishq har shakhs ke bas ka nahi pyaare jaao

YuN to maqtal mein tamashaayi bahut aate hain

Aaao us waqt, K jis waqt  pukaare jaao

Dil ki baazi lage phir jaan ki bazi lag jaye

Ishq mein haar ke abiTho nahi, haare jaao

Kaam ban jaye agar zulf junuN ban jaaye

Is liye us ko saNvaaro K saNvare jaao

Koi rastaa koi manzil use dushwaar nahi

Jis jagah jaao muhabbat ke sahaare jaao

Hum to mitti se ugaayeNge muhabbat ke gulab

Tum agar toRne jaate ho sitaare, jaao

Doobna hoga agar doobna taqdeer mein hai

Chaahe kashti pe raho chaahe kinare jaao

Tum hi socho bhal yeh shouq koi shouq hua

Aaj ooNchayi pe baiTho kal utaare jaao

Maut se khel ke karte ho muhabbat ‘Ajiz’

Mujh ko Dar hai kahiN be-maut na maare jaao

(By Kalim Ajiz)

Baqadr E Paimana E Takhaiyyul

Baqadr E paimaana E takhaiyyul, suroor her dil mein hai khudi ka

Agar na ho ye farayb E paiham,  to dam nikal  jaye aadmi ka

Bas ek   ehsaas  E naa-rasaii, na josh us mein na hosh usko

JunuN pe haalat raboodgii ki, khirad pe aalam ghunoodgi ka

Hai rooh tarikiyoN mein hairaN, bhujha hua hai chiragh E manzil

Kahin sar E raah yeh musaafir paTak na de bojh zindagi ka

Khuda ki rahmat mein bhool baithuN yahi na manii hai iske waez

Wo  abr ka muntazir khaRa ho, makaan jalta hai jab kisi ka

Wo lakh jhukwa le sar ko mere, magar ye dil ab nahi jhuke ga

K kibreyaii se bhi zeyada ,mizaaj naazuk hai bandagii ka

‘Jamil’ hairat mein hai zamaana , mere taghazzul ki muflisi per

Na jazba E  ‘Ijtiba E Rizvi’, na  kaif  ‘Perwez Shahidi’ ka

Syed Kazim Ali ‘Jamil Mazhari

Phool Sare Teri Khush Rang Nazar Ke Liye Hain

 

 Phool saare teri khush rang nazar ke liye haiN

Zakhm jitne bhi hain sab mere jigar ke liye haiN

Jane kis kaam ke hain, kya hai  hamaara masraf??

Hum kisi ghar ke liye hain na safar ke liye haiN

Kitne aalaam O masaayeb ke hain mahvar hum log

KashtiyaN jo bhi hain apni woh bhaNvar ke liye haiN

Meri tanhaayi ke mo’nis hain! mere gham ke rafeeq!

Saare aaNsoo, jo mere deeda e tar ke liye haiN

Apni taqdeer meiN kuchh bhi nahi patjhaR ke siwa

Yeh bahaarein to faqat aek shajar ke liye haiN

Mujh se kahne lagii yeh raat, K ‘Tariq’ saheb

Aap jaage hue kis khaab e sehar ke liye hain?

(By Tariq Matin)

Kaleja Thaam Lo Roodad E Gham Ham Ko Sunane Do …

Kaleja thaam lo roodad E gham ham ko sunaane do
Tumhein duk_kha hua dil ham dikhate hain dikhane do

Usi ke dam se thoRi raushni hai khaana E dil meiN
Bujhaate kyuN ho sham- E aarzoo ko jhilmilane do

Usi se tum kisii kii zulf ki roodaad sun lena
Udhar dekho wo deewaana chala aata hai aane do

Suna hai ishq ka me’raaj pinhaN hai shahadat me
Chhuri laao mujhe bhi apni qismat aazmaane do

Na dagh aayega apne daman E husn E tabiy’at per
Wafaa per mere jo tohmat lagate hain lagane do

Zamana sabr kar leta hai ‘Ajiz’ ham bhi kar leNge
Khalish dil ki miTa lene ke do aaNsoo bahane do

(Kalim Ajiz)

 

Tu Hai Gar Mujh Se Khafaa, Khud Se Khafaa Hun …

(Our Beloved poet Mazhar Imam passed away on yesternight 11.30 on 30th Jan 2011. Pray for the peace of his soul. He was born in 1928 in Bihar’s Darbhanga district. He spent a glorious life and served Urdu literature. This famaous Ghazal written by him is a tribute.)

 

Tu hai gar mujh se khafa khud se khafaa huN maiN bhii
Mujh ko pahchaan K teri hi adaa huN maiN bhii

Aek tujh se hi nahiN fasl E tamannaa shaadaab
Vohi mausam huN vohii aab O havaa huN maiN bhii

Sabt huN dast E Khamoshii pe hinaa kii suurat
Naashunidaa hi sahii teraa kahaa huN maiN bhii

ChaaNd ban kar tere aaNgan meN utar hii jaauN
Raat ke pichhale pahar maaNg duaa huN maiN bhii

YuuN na murjhaa K mujhe Khud pe bharosaa na rahe
Pichhle mausam meN tere saath khilaa huN maiN bhii

Jaane kis raah chaluN, kaun se ruKh muR jaauN
Mujh se mat mil K zamaane ki havaa huN maiN bhii

Yeh Tajrubaa Bhi Karun …

 

Ye tajrubaa bhi karuN, ye bhi kar dikhaauN maiN
K Khud ko yaad rakhuN us ko bhul jaauN maiN

Fareb-kaar meN kuchh to hai, koi baat to hai
K jaan boojh ke itne fareb khaauN maiN

Vo pal kahaN haiN jo duniyaa se joRta tha mujhe
Jo paauN tujh ko to sab ke qarib aauN maiN

Kabhi to ho mere ehasaas E kam-tari meN kami
Kabhi to ho K use khul ke aazmaauN maiN

Vo shaKhs hai K nasim E sahar ka jhoNkaa hai
Bikhar hi jaauN jo us ko gale lagaauN maiN

AzaaN ke baad duaa ko jo haath uThaaye voh
‘Imam’ apani namaazeN bhi bhul jaauN maiN