Yeh Samundar Hai, Kinare Hi Kinare Jaao


Yeh samundar hai!  kinaare hi kinaare jaao

Ishq har shakhs ke bas ka nahi pyaare jaao

YuN to maqtal mein tamashaayi bahut aate hain

Aaao us waqt, K jis waqt  pukaare jaao

Dil ki baazi lage phir jaan ki bazi lag jaye

Ishq mein haar ke abiTho nahi, haare jaao

Kaam ban jaye agar zulf junuN ban jaaye

Is liye us ko saNvaaro K saNvare jaao

Koi rastaa koi manzil use dushwaar nahi

Jis jagah jaao muhabbat ke sahaare jaao

Hum to mitti se ugaayeNge muhabbat ke gulab

Tum agar toRne jaate ho sitaare, jaao

Doobna hoga agar doobna taqdeer mein hai

Chaahe kashti pe raho chaahe kinare jaao

Tum hi socho bhal yeh shouq koi shouq hua

Aaj ooNchayi pe baiTho kal utaare jaao

Maut se khel ke karte ho muhabbat ‘Ajiz’

Mujh ko Dar hai kahiN be-maut na maare jaao

(By Kalim Ajiz)

One thought on “Yeh Samundar Hai, Kinare Hi Kinare Jaao

  1. lazzat-è-ishq mèñ apnè iss dil ko jhüläyèñ!
    phir kabhi munn ko hum apnè na ruläyèñ!
    ab gumräh hamèñ ker bhi na päyèñ gè suräb!
    “hum tou mit’t’i sè ugäyèñgè ulfat k guläb;
    tum agar tor’nä chäho tou sitärè jäo!”
    (mks)
    01oct13
    ~ jïm alif parvèz / kalïm äjiz.

Leave a comment